الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب فضائل القرآن
Kitab: Quran ke fazail ka bayan
باب نزل القرآن بلسان قريش والعرب:
Bab: Quran Majeed Quraysh aur Arab ke muhawara mein nazil hua.
Hadith Number: 4984
حدثنا ابو اليمان، حدثنا شعيب، عن الزهري، واخبرني انس بن مالك، قال: فامر عثمان زيد بن ثابت وسعيد بن العاص وعبد الله بن الزبير وعبد الرحمن بن الحارث بن هشام ان ينسخوها في المصاحف، وقال لهم:" إذا اختلفتم انتم وزيد بن ثابت في عربية من عربية القرآن، فاكتبوها بلسان قريش، فإن القرآن انزل بلسانهم ففعلوا".
Hum se Abu al-Yaman ne byaan kiya , kaha hum se Shuayb ne byaan kiya , un se Zuhri ne aur unhein Anas bin Malik razi Allahu anhu ne khabar di , unhon ne byaan kiya ke Usman razi Allahu anhu ne Zayd bin Sabit , Saeed bin Aas , Abdullah bin Zubayr , Abdur Rahman bin Haris bin Hisham razi Allahu anhum ko hukm diya ke Quran Majeed ko kitabi shakal mein likhein aur farmaya ke agar Quran ke kisi muhaware mein tumhara Zayd bin Sabit razi Allahu anhu se ikhtilaf ho to is lafz ko Quraish ke muhaware ke mutabiq likho , kyunke Quran un hi ke muhaware par nazil hua hai chunanche unhon ne aisa hi kiya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3506
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن ابن شهاب، عن انس:" ان عثمان دعا زيد بن ثابت وعبد الله بن الزبير و سعيد بن العاص وعبد الرحمن بن الحارث بن هشام فنسخوها في المصاحف، وقال عثمان" للرهط القرشيين الثلاثة إذا اختلفتم انتم وزيد بن ثابت في شيء من القرآن فاكتبوه بلسان قريش فإنما نزل بلسانهم ففعلوا ذلك".
Hum se Abdul Aziz Bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Ibrahim Bin Saad ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne aur un se Anas (Radi Allahu Anhu) ne ke Usman (Radi Allahu Anhu) ne Zaid Bin Sabit, Abdullah Bin Zubair, Saeed Bin Al-Aas aur Abdur Rahman Bin Haris Bin Hisham (Radi Allahu Anhum) ko bulaya (aur un ko Quran Majeed ki kitabat par muqarrar farmaya, chunancha in hazrat ne) Quran Majeed ko kai mushafon mein naqal farmaya aur Usman (Radi Allahu Anhu) ne (in charon mein se) teen Quraishi Sahaba se farmaya tha ke jab aap logon ka Zaid Bin Sabit (Radi Allahu Anhu) se (jo Madinah Munawwarah ke rehne wale thay) Quran ke kisi maqam par (is ke kisi muhavre mein) ikhtilaf ho jaye to is ko Quraish ke muhavre ke mutabiq likhna, kyunke Quran Shareef Quraish ke muhavre mein nazil hua hai. Unhon ne aisa hi kiya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة