الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب فَضَائِلِ الْقُرْآنِ
The Book of The Virtues of The Quran
بَابُ نَزَلَ الْقُرْآنُ بِلِسَانِ قُرَيْشٍ وَالْعَرَبِ:
Chapter. The Quran was revealed in the language of Quraish and the Arabs. "...An Arabic Quran..." (V.12:2) "In the plain Arabic language." (V.26:195)
Hadith Number: Q4984
وقول الله تعالى: قرءانا عربيا سورة يوسف آية 2 بلسان عربي مبين سورة الشعراء آية 195.
(Allah Ta'ala ne khud farmaya hai) «qur-aanan arabiyyan» yani Quran waazih Arbi zaban mein nazil hua .
Hadith Number: 4984
حدثنا ابو اليمان، حدثنا شعيب، عن الزهري، واخبرني انس بن مالك، قال: فامر عثمان زيد بن ثابت وسعيد بن العاص وعبد الله بن الزبير وعبد الرحمن بن الحارث بن هشام ان ينسخوها في المصاحف، وقال لهم:" إذا اختلفتم انتم وزيد بن ثابت في عربية من عربية القرآن، فاكتبوها بلسان قريش، فإن القرآن انزل بلسانهم ففعلوا".
Hum se Abu al-Yaman ne byaan kiya , kaha hum se Shuayb ne byaan kiya , un se Zuhri ne aur unhein Anas bin Malik razi Allahu anhu ne khabar di , unhon ne byaan kiya ke Usman razi Allahu anhu ne Zayd bin Sabit , Saeed bin Aas , Abdullah bin Zubayr , Abdur Rahman bin Haris bin Hisham razi Allahu anhum ko hukm diya ke Quran Majeed ko kitabi shakal mein likhein aur farmaya ke agar Quran ke kisi muhaware mein tumhara Zayd bin Sabit razi Allahu anhu se ikhtilaf ho to is lafz ko Quraish ke muhaware ke mutabiq likho , kyunke Quran un hi ke muhaware par nazil hua hai chunanche unhon ne aisa hi kiya .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4985
حدثنا ابو نعيم، حدثنا همام، حدثنا عطاء، وقال مسدد: حدثنا يحيى بن سعيد، عن ابن جريج، قال: اخبرني عطاء، قال: اخبرني صفوان بن يعلى بن امية، ان يعلى، كان يقول: ليتني ارى رسول الله صلى الله عليه وسلم حين ينزل عليه الوحي، فلما كان النبي صلى الله عليه وسلم بالجعرانة وعليه ثوب قد اظل عليه ومعه ناس من اصحابه، إذ جاءه رجل متضمخ بطيب، فقال: يا رسول الله، كيف ترى في رجل احرم في جبة بعد ما تضمخ بطيب؟ فنظر النبي صلى الله عليه وسلم ساعة، فجاءه الوحي، فاشار عمر إلى يعلى ان تعال، فجاء يعلى، فادخل راسه، فإذا هو محمر الوجه يغط كذلك ساعة، ثم سري عنه، فقال: اين الذي يسالني عن العمرة آنفا؟ فالتمس الرجل، فجيء به إلى النبي صلى الله عليه وسلم، فقال:" اما الطيب الذي بك فاغسله ثلاث مرات، واما الجبة فانزعها، ثم اصنع في عمرتك كما تصنع في حجك".
Hum se Abu Naeem ne byaan kiya , kaha hum se Hammam bin Yahya ne byaan kiya , hum se Ata bin Abi Rabah ne byaan kiya . (doosri sanad) aur (mere walid) Musaddad bin Zayd ne byaan kiya ke hum se Yahya bin Saeed Qattan ne byaan kiya , un se Ibn Jurayj ne byaan kiya , kaha mujhko Ata bin Abi Rabah ne khabar di , kaha ke mujhe Safwan bin Yala bin Umayyah ne khabar di ke (mere walid) Yala kaha karte thay ke kaash main Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko is waqt dekhta jab Aap salla Allahu alaihi wasallam par wahi nazil hoti ho . Chunanche jab Aap salla Allahu alaihi wasallam Maqam e Jirana mein thehre huay thay . Aap salla Allahu alaihi wasallam ke oopar kapre se saya kar diya gaya tha aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ke saath Aap ke chand sahabah maujood thay ke ek shakhs ke baare mein kiya fatwa hai . Jis ne khushboo mein basa hua ek jubba pehan kar ihram baandha ho . Thori der ke liye Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne dekha aur phir Aap salla Allahu alaihi wasallam par wahi aana shuru ho gayi . Umar razi Allahu anhu ne Yala ko isharah se bulaya . Yala aaye aur apna sar (is kapre ke jis se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke liye saya kiya gaya thu) andar kar liya , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka chehra is waqt surkh ho raha tha aur Aap salla Allahu alaihi wasallam tezi se saans le rahe thay , thori der tak yahi kaifiyat rahi . Phir yeh kaifiyat door ho gayi aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya ke jis ne abhi mujh se umrah ke mutalliq fatwa poocha thu woh kahan hai ? Is shakhs ko talash kar ke Aap ke paas laya gaya . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne un se farmaya ke jo khushboo tumhare badan ya kapre par lagi hui hai us ko teen martaba dho lo aur jubba ko utaar do phir umrah mein bhi isi tarah karo jis tarah Hajj mein karte ho .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة