الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
سورة {إنا أعطيناك الكوثر} :
Bab: Surah Inna a’ataynaakal Kawthar ki tafseer.
Hadith Number: 4966
حدثنا يعقوب بن إبراهيم، حدثنا هشيم، حدثنا ابو بشر، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، انه قال:" في الكوثر هو الخير الذي اعطاه الله إياه، قال ابو بشر: قلت لسعيد بن جبير: فإن الناس يزعمون انه نهر في الجنة، فقال سعيد: النهر الذي في الجنة من الخير الذي اعطاه الله إياه".
Hum se Yaqoob bin Ibrahim ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Hushaym ne byaan kiya , un se Abu al-Bishr ne byaan kiya , un se Saeed bin Jubayr ne byaan kiya aur un se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne Kausar ke mutalliq ke woh khair e kaseer hai jo Allah Ta'ala ne Nabi salla Allahu alaihi wasallam ko di hai . Abu al-Bishr ne byaan kiya ke main ne Saeed bin Jubayr se arz ki , logon ka khayal hai ke is se jannat ki ek nahar murad hai ? Saeed ne kaha ke jannat ki nahar bhi is khair e kaseer mein se ek hai jo Allah Ta'ala ne Nabi salla Allahu alaihi wasallam ko di hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6578
حدثني عمرو بن محمد، حدثنا هشيم، اخبرنا ابو بشر، وعطاء بن السائب، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنه، قال:" الكوثر الخير الكثير الذي اعطاه الله إياه"، قال ابو بشر: قلت لسعيد: إن اناسا يزعمون انه نهر في الجنة، فقال سعيد: النهر الذي في الجنة من الخير الذي اعطاه الله إياه.
Mujh se Amr bin Muhammad ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Hushaim ne bayan kiya , unhon ne kaha hum ko Abu Bishr aur Ata bin Saib ne khabar di , unhein Saeed bin Jubayr ne aur in se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Kausar se murad bahut zyada bhalayi (khair e kaseer) hai jo Allah Ta'ala ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko di hai . Abu Bishr ne bayan kiya ke main ne Saeed bin Jubayr se kaha ke baaz logon ka khayal hai ke Kausar jannat mein ek nehar hai to unhon ne kaha ke jo nehar jannat mein hai woh bhi is khair (bhalayi) ka ek hissa hai jo Allah Ta'ala ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko di hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة