الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {ومن يعمل مثقال ذرة شرا يره} :
Bab: Ayat ki tafseer“Jo koi ek zarra baraabar burai kare ga use bhi woh dekh lega”.
Hadith Number: 4963
حدثنا يحيى بن سليمان، قال: حدثني ابن وهب، قال: اخبرني مالك، عن زيد بن اسلم، عن ابي صالح السمان، عن ابي هريرة رضي الله عنه، سئل النبي صلى الله عليه وسلم عن الحمر، فقال:" لم ينزل علي فيها شيء إلا هذه الآية الجامعة الفاذة فمن يعمل مثقال ذرة خيرا يره {7} ومن يعمل مثقال ذرة شرا يره {8} سورة الزلزلة آية 7-8".
Hum se Yahya bin Sulayman ne byaan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Ibn Wahb ne byaan kiya, unhon ne kaha mujh ko Imam Malik ne khabar di, unhein Zayd bin Aslam ne, unhein Abu Salih ne aur unhein Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se gadhoon ke mutalliq poocha gaya to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke is akaili aam aayat ke siwa mujh par is ke baare mein aur koi khaas hukm nazil nahi hua hai «faman yamal misqaala zharratin khayray-yarah * wa man yamal misqaala zharratin sharray-yarah» yani ”so jo koi zharra barabar naiki kare ga usay dekh le ga aur jo koi zharra barabar burayi kare ga woh usay bhi dekh le ga.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2371
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك بن انس، عن زيد بن اسلم، عن ابي صالح السمان، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" الخيل لرجل اجر، ولرجل ستر، وعلى رجل وزر، فاما الذي له اجر فرجل ربطها في سبيل الله، فاطال بها في مرج او روضة، فما اصابت في طيلها ذلك من المرج او الروضة كانت له حسنات، ولو انه انقطع طيلها فاستنت شرفا او شرفين كانت آثارها وارواثها حسنات له، ولو انها مرت بنهر فشربت منه، ولم يرد ان يسقي كان ذلك حسنات له فهي لذلك اجر، ورجل ربطها تغنيا وتعففا، ثم لم ينس حق الله في رقابها ولا ظهورها فهي لذلك ستر، ورجل ربطها فخرا ورياء ونواء لاهل الإسلام فهي على ذلك وزر، وسئل رسول الله صلى الله عليه وسلم، عن الحمر؟ فقال: ما انزل علي فيها شيء إلا هذه الآية الجامعة الفاذة فمن يعمل مثقال ذرة خيرا يره {7} ومن يعمل مثقال ذرة شرا يره {8} سورة الزلزلة آية 7-8".
Hum se Abdullah Bin Yusuf Tinnisi ne bayan kiya, kaha ke hum ko Imam Malik Bin Anas ne khabar di, unhein Yazid Bin Aslam ne, unhein Abu Salih Samman ne aur unhein Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, ghora ek shakhs ke liye bais-e-sawab hai, doosre ke liye bachao hai aur teesre ke liye wabal hai. Jis ke liye ghora ajr-o-sawab hai, wo wo shakhs hai jo Allah ki raah ke liye is ko paale, wo ise kisi hariyale maidan mein bandhe (rawi ne kaha) ya kisi bagh mein. To jis qadar bhi wo is hariyale maidan mein ya bagh mein chare ga. Us ki naikiyon mein likha jaye ga. Agar ittifaq se is ki rassi toot gayi aur ghora ek ya do martaba aage ke paon utha kar koda to is ke aasar-e-qadam aur leed bhi malik ki naikiyon mein likhe jayeinge aur agar wo ghora kisi nadi se guzre aur is ka pani piye khwah malik ne ise pilane ka irada na kiya ho to bhi ye is ki naikiyon mein likha jaye ga. To is niyat se pala jane wala ghora inhi wujoh se bais-e-sawab hai doosra shakhs wo hai jo logon se bay-niyaz rehne aur in ke samne dast-e-sawal barhane se bachne ke liye ghora paale, phir is ki gardan aur is ki peeth ke silsila mein Allah Ta'ala ke haq ko bhi faramosh na kare to ye ghora apne malik ke liye parda hai. Teesra shakhs wo hai jo ghore ko fakhr, dikhawe aur Musalmanon ki dushmani mein paale. To ye ghora is ke liye wabal hai. Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se gadhon ke mutalliq daryaft kiya gaya to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke mujhe is ke mutalliq koi hukum wahi se maloom nahi hua. Siwa is jamia ayat ke «من يعمل مثقال ذرة خيرا يره * ومن يعمل مثقال ذرة شرا يره» ”Jo shakhs zarra barabar bhi naiki karega, is ka badla paye ga aur jo zarra barabar burayi karega is ka badla paye ga.“
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة