الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {يا أيها النبى لم تحرم ما أحل الله لك تبتغي مرضاة أزواجك والله غفور رحيم} :
Bab: Ayat ki tafseer“Ay Nabi! jis cheez ko Allah ne Aap ke liye halal kiya hai use Aap apne liye kyun haram qaraar de rahe hain, mahaz apni biwiyon ki khushi haasil karne ke liye halaanke ye Aap ke liye ziba nahi hai aur Allah bara bakhshne wala bari hi rehmat karne wala hai”.
Hadith Number: 4911
حدثنا معاذ بن فضالة، حدثنا هشام، عن يحيى، عن ابن حكيم هو يعلى بن حكيم الثقفي، عن سعيد بن جبير، ان ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" في الحرام يكفر، وقال ابن عباس: 0 لقد كان لكم في رسول الله إسوة حسنة 0".
Hum se Maaz bin Fadala ne byaan kiya, kaha hum se Hisham bin Urwah ne byaan kiya, un se Yahya bin Saeed Qattan ne, un se Ibn Hakeem ne, un se Saeed bin Jubayr ne aur un se Ibn Abbas ne kaha ke agar kisi ne apne oopar koi halal cheez haram kar li to is ka kaffara dena ho ga. Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «laqad kaana lakum fee rasoolillahi uswatun hasanatun» yani ”beshak tumhare liye tumhare Rasool Allah ki zindagi mein behtareen namuna hai.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5266
حدثني الحسن بن صباح، سمع الربيع بن نافع، حدثنا معاوية، عن يحيى بن ابي كثير، عن يعلى بن حكيم، عن سعيد بن جبير، انه اخبره، انه سمع ابن عباس، يقول:" إذا حرم امراته ليس بشيء، وقال: لقد كان لكم في رسول الله اسوة حسنة سورة الاحزاب آية 21".
Mujh se Hasan bin al-Sabbah ne byaan kiya , unhon ne Rabee bin Nafi se suna ke hum se Muawiyah bin Salam ne byaan kiya , in se Yahya bin Abi Kaseer ne , in se Yala bin Hakeem ne , in se Saeed bin Jubayr ne , unhon ne unhein khabar di ke unhon ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se suna , unhon ne byaan kiya ke agar kisi ne apni biwi ko apne oopar haram kaha to yeh koi cheez nahi aur farmaya ke tumhare liye Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki pairwi umdah pairwi hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة