الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب قوله: {وظل ممدود} :
Bab: Ayat ki tafseer“Aur jannat ke darakhton ka bohot hi lamba saya ho ga”.
Show diacritics
Hadith Number: 4881
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، يبلغ به النبي صلى الله عليه وسلم قال:" إن في الجنة شجرة يسير الراكب في ظلها مائة عام، لا يقطعها، واقرءوا إن شئتم وظل ممدود سورة الواقعة آية 30".
Hum se Ali bin Abdullah ne byaan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya, un se Abu al-Zinad ne, un se Aaraj ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya, woh kehte thay ke unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna tha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jannat mein ek darakht taveel ho ga (itna bara ke) sawar is ke saye mein sau saal tak chale ga aur phir bhi is ka saya khatam na ho ga agar tumhara jee chahe to is aayat «wa zhil-lim mamdoodin» ki qirat kar lo.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3251
حدثنا روح بن عبد المؤمن، حدثنا يزيد بن زريع، حدثنا سعيد، عن قتادة، حدثنا انس بن مالك رضي الله عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إن في الجنة لشجرة يسير الراكب في ظلها مائة عام لا يقطعها".
Hum se Ruh Bin Abdul Momin ne bayan kiya, kaha hum se Yazid Bin Zuraie ne bayan kiya, kaha hum se Said Bin Abi Arubah ne bayan kiya, un se Qatada ne aur un se Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jannat mein ek darakht hai jis ke saye mein ek sawar so saal tak chal sakta hai aur phir bhi is ko tay na kar sakega."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3252
حدثنا محمد بن سنان، حدثنا فليح بن سليمان، حدثنا هلال بن علي، عن عبد الرحمن بن ابي عمرة، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إن في الجنة لشجرة يسير الراكب في ظلها مائة سنة واقرءوا، إن شئتم وظل ممدود سورة الواقعة آية 30
Hum se Muhammad Bin Sinan ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Falih Bin Sulaiman ne bayan kiya, un se Hilal Bin Ali ne bayan kiya, un se Abdur Rahman Bin Abi Amra ne bayan kiya aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jannat mein ek darakht hai jis ke saye mein ek sawar so saal tak chal sakega aur agar tumhara jee chahe to ye ayat parh lo 'wa zillin mamdoodin' aur lamba sayah."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3253
ولقاب قوس احدكم في الجنة خير مما طلعت عليه الشمس او تغرب".
Aur kisi shakhs ke liye ek kaman ke barabar Jannat mein jagah is poori dunya se behtar hai jis par sooraj tulu aur ghuroob hota hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة