الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {أفرأيتم اللات والعزى} :
Bab: Ayat ki tafseer“Bhala tum ne Laat aur Uzza ko bhi dekha hai”.
Hadith Number: 4860
حدثنا عبد الله بن محمد، اخبرنا هشام بن يوسف، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن حميد بن عبد الرحمن، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من حلف فقال في حلفه واللات والعزى، فليقل: لا إله إلا الله، ومن قال لصاحبه تعال اقامرك فليتصدق".
Hum se Abdullah bin Muhammad Musandi ne byaan kiya, unhon ne kaha hum ko Hisham bin Yusuf ne khabar di, unhon ne kaha hum ko Mamar ne khabar di, unhon ne kaha hamain Zuhri ne, unhein Humayd bin Abdur Rahman ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jo shakhs qasam khaye aur kahe ke qasam hai Laat aur Uzza ki to usay tajdeed e iman ke liye kehna chahiye «la ilaha illallah» aur jo shakhs apne saathi se yeh kahe ke aao jua khelein to usay sadqa dena chahiye.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6107
حدثني إسحاق، اخبرنا ابو المغيرة، حدثنا الاوزاعي، حدثنا الزهري، عن حميد، عن ابي هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من حلف منكم فقال في حلفه باللات والعزى فليقل: لا إله إلا الله، ومن قال لصاحبه: تعال اقامرك، فليتصدق".
Mujh se Ishaq bin Rahwayh ne bayan kiya, kaha hum ko Abu al-Mugheera ne khabar di, kaha hum se Imam Awza'i ne bayan kiya unhon ne kaha hum se Zuhri ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Humayd bin Abd-ur-Rahman bin Auf ne, unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”tum mein se jis ne Laat, Uzza ki (ya doosre buton ki) qasam khayi to usay «la ilaha illallahu» parhna chahiye aur jis ne apne saathi se kaha ke aao jua khelein to usay bataur kaffara sadqa dena chahiye.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6301
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، قال: اخبرني حميد بن عبد الرحمن، ان ابا هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من حلف منكم، فقال في حلفه: باللات والعزى، فليقل: لا إله إلا الله، ومن قال لصاحبه: تعال اقامرك، فليتصدق".
Hum se Yahya bin Bukayr ne bayan kiya , kaha hum se Layth bin Saad ne bayan kiya , in se Aqeel ne , in se Ibn Shihab ne , kaha ke mujhe Humayd bin Abd-ur-Rahman ne bayan kiya aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”tum mein se jis ne qasam khayi aur kaha ke Laat o Uzza ki qasam , to phir woh «la ilaha illallahu» kahe aur jis ne apne saathi se kaha ke aao jua khelein to usay sadqa kar dena chahiye .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6650
حدثني عبد الله بن محمد، حدثنا هشام بن يوسف، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن حميد بن عبد الرحمن، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من حلف، فقال في حلفه: باللات والعزى، فليقل: لا إله إلا الله، ومن قال لصاحبه: تعال اقامرك: فليتصدق".
Mujh se Abdullah bin Muhammad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Hisham bin Yusuf ne bayan kiya, unhon ne kaha hamain ko Mamar ne khabar di, unhon ne kaha hum se Zuhri ne bayan kiya, unhein Humayd bin Abd-ur-Rahman ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jis ne qasam khayi aur kaha ke ”Laat o Uzza ki qasam“ to usay phir kalma «laa ilaaha illallaahu» keh lena chahiye aur jo shakhs apne saathi se kahe ke aao jua khelein to usay chahiye ke (is ke kaf-fare mein) sadqa kare.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة