الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {لقد رأى من آيات ربه الكبرى} :
Bab: Ayat ki tafseer“Tahqeeq Nabi Kareem ﷺ ne apne Rab ki bari bari nishaniyon ko dekha”.
Show diacritics
Hadith Number: 4858
حدثنا قبيصة، حدثنا سفيان، عن الاعمش، عن إبراهيم، عن علقمة، عن عبد الله رضي الله عنه، لقد راى من آيات ربه الكبرى سورة النجم آية 18، قال:" راى رفرفا اخضر قد سد الافق".
Hum se Qubaysah bin Utbah ne byaan kiya, kaha hum se Sufyan Sawri ne byaan kiya, un se Aamash ne, un se Ibrahim Nakhai ne, un se Alqamah ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne aayat «laqad ra-aa min aayaati rabbihil kubra» yani ”Aap ne apne Rabb ki azeem nishaniyan dekhein“ ke mutalliq batlaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne «rafraf» (sabz farsh) ko dekha jis ne aasman ke kinaron ko dhaanp liya tha.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3232
حدثنا قتيبة، حدثنا ابو عوانة، حدثنا ابو إسحاق الشيباني، قال: سالت زر بن حبيش، عن قول الله تعالى: فكان قاب قوسين او ادنى {9} فاوحى إلى عبده ما اوحى {10} سورة النجم آية 9-10، قال: حدثنا ابن مسعود: انه راى" جبريل له ست مائة جناح".
Hum se Qutaiba Bin Said ne bayan kiya, kaha hum se Abu Awana ne bayan kiya, kaha hum se Abu Ishaq Shaibani ne bayan kiya, kaha ke mein ne Zirr Bin Hubaish se Allah Ta'ala ke (Surah Al-Najm mein) irshad "fa kana qaba qausaini au adna * fa auha ila abdihi ma auha" ke mutaliq pucha, to unhon ne bayan kiya ke hum se Ibn Masood (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya tha ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Jibrail Alaihis Salam ko (apni asli surat mein) dekha, to un ke che so bazu thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة