الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {يوم نبطش البطشة الكبرى إنا منتقمون} :
Bab: Ayat ki tafseer“Us din ko yaad karo jab ke hum bari sakht pakar pakren ge, hum bila-shak us din poora poora badla len ge”.
Hadith Number: 4825
حدثنا يحيى، حدثنا وكيع، عن الاعمش، عن مسلم، عن مسروق، عن عبد الله، قال:" خمس قد مضين اللزام، والروم، والبطشة، والقمر، والدخان".
Hum se Yahya ne byaan kiya , kaha hum se Abu Muawiyah ne byaan kiya , un se Aamash ne , un se Muslim ne , un se Masrooq ne byaan kiya aur un se Abdullah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke paanch (Quran Majeed ki pesheen-goiyaan) guzar chuki hain . «al-lizaamu» (Badr ki larayi ki halakat) , «ar-roomu» (ghalba e Room) «al-bat-shatu» (sakht pakar) , «al-qamaru» (chaand ke tukre hona) aur «wad-dukhaanu» dhuwaan , shiddat e faqa ki wajah se .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1007
حدثنا عثمان بن ابي شيبة، قال: حدثنا جرير، عن منصور، عن ابي الضحى، عن مسروق، قال: كنا عند عبد الله، فقال: إن النبي صلى الله عليه وسلم لما راى من الناس إدبارا، قال:" اللهم سبع كسبع يوسف، فاخذتهم سنة حصت كل شيء حتى اكلوا الجلود والميتة والجيف وينظر احدهم إلى السماء فيرى الدخان من الجوع"، فاتاه ابو سفيان، فقال: يا محمد إنك تامر بطاعة الله وبصلة الرحم، وإن قومك قد هلكوا فادع الله لهم، قال الله تعالى: فارتقب يوم تاتي السماء بدخان مبين إلى قوله إنكم عائدون يوم نبطش البطشة الكبرى سورة الدخان آية 10 - 16، فالبطشة: يوم بدر وقد مضت الدخان والبطشة واللزام وآية الروم.
Hum se Imam Humaidi ne byaan kiya , kaha ke hum se Sufyan Thauri ne byaan kiya , in se Sulayman A'mash ne , in se Abu al-Duha ne , in se Masrooq ne , in se Abdullah bin Masood ne (doosri sanad) hum se Uthman bin Abi Shaybah ne byaan kiya , kaha ke hum se Jarir bin Abdul Hameed ne Mansoor bin Masood bin Mutamar se byaan kiya , aur in se Abu al-Duha ne , in se Masrooq ne , unhon ne byaan kiya ke hum Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ki khidmat mein baithe hue thay . Aap ne farmaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne jab kuffar-e-Quraish ki sarkashi dekhi to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne bad-dua ki «Allahumma sab'an kasab'i Yusuf» ke ay Allah! saat baras ka qahet in par bhej jaise Yusuf alaihissalam ke waqt mein bheja tha chunanche aisa qahet para ke har cheez tabah ho gayi aur logun ne chamre aur murdar tak kha liye . Bhook ki shiddat ka yeh aalam tha ke aasman ki taraf nazar uthayi jati to dhowein ki tarah maloom hota tha aakhir majboor ho kar Abu Sufyan hazir-e-khidmat hue aur arz kiya ke ay Muhammad (salla Allahu alaihi wasallam)! Aap logun ko Allah ki itaat aur sila rehmi ka hukm dete hain . Ab to Aap hi ki qaum barbad ho rahi hai , is liye Aap Allah se in ke haq mein dua kijiye . Allah Ta'ala ne farmaya ke us din ka intezar kar jab aasman saaf dhowan nazar aayega aayat «innakum aa'idoon» tak (neez) jab hum sakhti se in ki girift karein ge (kuffar ki) sakht girift Badr ki larayi mein hui . Dhowein ka bhi muamla guzar chuka (jab sakht qahet para tha) jis mein pakar aur qaid ka zikr hai woh sab ho chuke isi tarah Surah Al-Room ki aayat mein jo zikr hai woh bhi ho chuka .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة