الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {إلا المودة فى القربى} :
Bab: Ayat ki tafseer“Qarabat-dari ki muhabbat ke siwa mein tum se aur kuch nahi chahta”.
Hadith Number: 4818
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا محمد بن جعفر، حدثنا شعبة، عن عبد الملك بن ميسرة، قال: سمعت طاوسا، عن ابن عباس رضي الله عنهما، انه سئل عن قوله: إلا المودة في القربى سورة الشورى آية 23، فقال سعيد بن جبير: قربى آل محمد صلى الله عليه وسلم، فقال ابن عباس:" عجلت إن النبي صلى الله عليه وسلم لم يكن بطن من قريش إلا كان له فيهم قرابة، فقال:" إلا ان تصلوا ما بيني وبينكم من القرابة".
Hum se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Muhammad bin Jafar ne bayan kiya, kaha ke hum se Shubah ne, in se Abd-ul-Malik bin Maysarah ne bayan kiya ke main ne Taoos se suna ke Ibn Abbas razi Allahu anhuma se Allah Ta'ala ke irshad «il-lal-mawaddata fil-qurbaa» ”siwa rishta-dari ki mohabbat ke“ mutalliq poochha gaya to Saeed bin Jubayr ne farmaya ke Aal e Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ki qarabath-dari murad hai. Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne is par kaha ke tum ne jald-baazi ki. Quraish ki koi shakh aaisi nahi jis mein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki qarabath-dari na ho. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in se farmaya ke tum se sirf yeh chahta hoon ke tum is qarabath-dari ki wajah se sila-rahmi ka muamla karo jo mere aur tumhare darmiyan mein maujood hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3497
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن شعبة، حدثني عبد الملك، عن طاوس، عن ابن عباس رضي الله عنهما، إلا المودة في القربى سورة الشورى آية 23، قال: فقال سعيد بن جبير: قربى محمد صلى الله عليه وسلم، فقال" إن النبي صلى الله عليه وسلم لم يكن بطن من قريش إلا وله فيه قرابة فنزلت عليه إلا ان تصلوا قرابة بيني وبينكم".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Yahya Bin Saeed Qattan ne bayan kiya, un se Shuba ne, un se Abdul Malik ne bayan kiya, un se Taoos ne ke un se Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya «illa-al mawaddata fil qurba» ke mutaliq (Taoos ne) bayan kiya ke Quraish ki koi shakh aisi nahi thi jis mein Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki qarabut na rahi ho aur isi wajah se ye aayat nazil hui thi ke mera mutalba sirf ye hai ke tum log meri aur apni qarabut-dari ka lihaz karo
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة