الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
سورة {ص} :
Bab: Surah Saad ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: 4807
حدثني محمد بن عبد الله، حدثنا محمد بن عبيد الطنافسي، عن العوام، قال:" سالت مجاهدا عن سجدة في ص؟ فقال: سالت ابن عباس من اين سجدت؟ فقال: او ما تقرا ومن ذريته داود وسليمان اولئك الذين هدى الله فبهداهم اقتده سورة الانعام آية 90، فكان داود ممن امر نبيكم صلى الله عليه وسلم ان يقتدي به، فسجدها داود عليه السلام، فسجدها رسول الله صلى الله عليه وسلم.
Mujh se Muhammad bin Abdullah Zhuhli ne byaan kiya , kaha hum se Muhammad bin Ubayd Tanafisi ne , un se Awam bin Haushab ne byaan kiya ke main ne Mujahid se Surah Sad mein sajda ke mutalliq poocha to unhon ne kaha ke main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se poocha tha ke is surat mein aayat e sajda ke liye daleel kya hai ? Unhon ne kaha kya tum (Surah Anaam) mein yeh nahi parhte «wa min zhurriyyathi Dawooda wa Sulaymana» ke ”aur un ki nasl se Dawood aur Sulayman hain , yahi woh log hain jinhein Allah ne yeh hidayat di thi , so Aap bhi un ki hidayat ki ittiba karein .“ Dawood alaihissalam bhi un mein se thay jin ki ittiba ka Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko hukm tha (kyunke Dawood alaihissalam ke sajde ka is mein zikr hai is liye Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne bhi is mauqa par sajda kiya) . «ujaabun» ka maani ajeeb . «al-qittu» kehte hain kaghaz ke tukre (parche) ko yahan naikiyon ka parcha murad hai (ya hisab ka parcha) . Aur Mujahid rahmahullah ne kaha «fee izzatin» ka maani yeh hai ke woh shararat o sarkashi karne wale hain . «al-millat-ul-aakhiratu» se murad Quraysh ka deen hai . «ikhtilaaqun» se murad jhoot . «al-asbaabu» aasman ke raste , darwaze murad hain . «jundum ma hunaalika mahzoomun» al-aayat se Quraysh ke log murad hain . «ula'ikal ahzaabu» se agli ummatein murad hain . Jin par Allah ka azab utra . «fawaaqun» ka maani phirna , lautna . «ajjil lana qittana» mein «qittu» se azab murad hai . «ittakhazh-naahum sikhriyyan» hum ne unhein thatthe mein gher liya tha . «atraabun» jorr wale . Aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «aydun» ka maani ibadat ki quwwat . «al-absaaru» Allah ke kaamon ko ghaur se dekhne wale . «hubbal khayri an zhikri rabbi» mein «an min» ke maani mein hai . «tafiqa mashan» ghoron ke paon aur ayaal par mohabbat se hath pherna shuru kiya . Ya ba-qaul e baaz talwar se un ko kaatne lage . «al-asfaadu» ke maani zanjeerein .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1069
حدثنا سليمان بن حرب، وابو النعمان، قالا: حدثنا حماد، عن ايوب، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" ص ليس من عزائم السجود، وقد رايت النبي صلى الله عليه وسلم يسجد فيها".
Hum se Sulaiman bin Harb aur Abul Nu'man bin Fadl ne byaan kiya , un donon ne kaha ke hum se Hammad bin Zaid ne byaan kiya , un se Ayyub ne byaan kiya , un se Ikrimah ne byaan kiya aur un se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne farmaya ke Surah Saad ka sajdah kuch takeedi sajdon mein se nahi hai aur main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko sajdah karte huay dekha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3421
حدثنا محمد، حدثنا سهل بن يوسف، قال: سمعت العوام، عن مجاهد، قال: قلت: لابن عباس اسجد في ص فقرا ومن ذريته داود وسليمان حتى اتى فبهداهم اقتده سورة الانعام آية 84 - 90 فقال: ابن عباس رضي الله عنهما نبيكم صلى الله عليه وسلم ممن امر ان يقتدي بهم.
Hum se Muhammad Bin Salam ne bayan kiya kaha hum se Sahl Bin Yusuf ne bayan kiya kaha mein ne Awwam se suna un se Mujahid ne bayan kiya ke mein ne Abbas (Radi Allahu Anhu) se poocha kya mein Surah Saad mein sajda kiya karoon? To unhon ne aayat «wa min zurriyyatihi dawooda wa sulaimana» tilawat ki «fabihudahumuqtadih» tak neez unhon ne kaha ke tumhare Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) in logon mein se thay jinhein Anbiya (Alaihimus Salam) ki iqtida ka hukam tha


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3422
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا وهيب، حدثنا ايوب، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" ليس ص من عزائم السجود، ورايت النبي صلى الله عليه وسلم يسجد فيها".
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya kaha hum se Wahb ne bayan kiya un se Ayub ne bayan kiya un se Ikrimah ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Surah Saad ka sajda zaroori nahi lekin mein ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko is surat mein sajda karte dekha hai


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة