الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الصلاة
Kitab: Namaz ke ahkam o masail
باب تشبيك الأصابع فى المسجد وغيره:
Bab: Masjid waghera mein ek haath ki ungliyan doosre haath ki ungliyon mein daakhil kar ke qainchi karna durust hai.
Show diacritics
Hadith Number: 480
وقال عاصم بن علي: حدثنا عاصم بن محمد، سمعت هذا الحديث من ابي فلم احفظه فقومه لي واقد، عن ابيه، قال: سمعت ابي وهو يقول: قال عبد الله قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: يا عبد الله بن عمرو كيف بك إذا بقيت في حثالة من الناس بهذا.
Aur Aasim bin Ali ne kaha , hum se Aasim bin Muhammad ne bayan kiya ke mein ne is hadees ko apne walid Muhammad bin Zaid se suna . Lekin mujhe hadees yaad nahi rahi thi . To mere bhai Waqid ne is ko durusti se apne walid se riwayat kar ke mujhe bataya . Woh kehte hain ke Abdullah bin Amr bin Aas raziyallahu anhuma se Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke Abdullah bin Amr tumhara kya haal ho ga jab tum bure logon mein reh jao ge is tarah yani aap salla Allahu alaihi wa sallam ne ek hath ki ungliyan doosre hath mein kar ke dikhlayen .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 475
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن ابن شهاب، عن عباد بن تميم، عن عمه،" انه راى رسول الله صلى الله عليه وسلم مستلقيا في المسجد واضعا إحدى رجليه على الاخرى"، وعن ابن شهاب، عن سعيد بن المسيب، قال: كان عمر وعثمان يفعلان ذلك.
Hum se Abdullah bin Maslama Qanabi ne bayan kiya Imam Malik ke wastay se , unhon ne Ibn Shihab Zuhri se , unhon ne Abbad bin Tamim se , unhon ne apne chacha Abdullah bin Zaid bin Aasim Mazni raziyallahu anhu se ke unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ko chit lete hue dekha . Aap salla Allahu alaihi wa sallam apna ek paon doosre par rakhe hue thay . Ibn Shihab Zuhri se marwi hai , woh Saeed bin Musayyab se riwayat karte hain ke Umar aur Usman raziyallahu anhuma bhi isi tarah lete thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة