الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب قوله: {لا تدخلوا بيوت النبى إلا أن يؤذن لكم إلى طعام غير ناظرين إناه ولكن إذا دعيتم فادخلوا فإذا طعمتم فانتشروا ولا مستأنسين لحديث إن ذلكم كان يؤذي النبى فيستحيي منكم والله لا يستحيي من الحق وإذا سألتموهن متاعا فاسألوهن من وراء حجاب ذلكم أطهر لقلوبكم وقلوبهن وما كان لكم أن تؤذوا رسول الله ولا أن تنكحوا أزواجه من بعده أبدا إن ذلكم كان عند الله عظيما} :
Bab: Ayat ki tafseer yani Ay imaan walo! Nabi ke gharon mein mat jaya karo. Siwaye us waqt ke jab tumhein khane ke liye (aane ki) ijazat di jaye, aise taur par ke us ki tayyari ke muntazir na baithe raho, albatta jab tum ko bulaya jaye tab jaya karo. Phir jab khana kha chuko to uth kar chale jaya karo aur wahan baaton mein ji laga kar mat baithe raha karo. Is baat se Nabi ko takleef hoti hai so aap tumhara lehaz karte hain aur Allah saaf baat kehne se (kisi ka) lehaz nahi karta aur jab tum un (Rasool ki azwaj) se koi cheez maango to un se parde ke bahar se maanga karo, ye tumhare aur un ke dilon ke paak rehne ka umdah zariya hai aur tumhein ja’iz nahi ke tum Rasoolullah ko (kisi tarah bhi) takleef pahunchao aur na ye ke Aap ke baad Aap ki biwiyon se kabhi bhi nikah karo, beshak ye Allah ke nazdeek bohot bari baat hai”.
Show diacritics
Hadith Number: 4790
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن حميد، عن انس، قال: قال عمر رضي الله عنه: قلت:" يا رسول الله، يدخل عليك البر والفاجر فلو امرت امهات المؤمنين بالحجاب فانزل الله آية الحجاب".
Hum se Musaddad ne byaan kiya , un se Yahya bin Saeed Qattan ne , un se Humayd Taweel ne aur un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Umar razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main ne arz kiya: ya Rasool Allah! Aap ke paas achhe bure har tarah ke log aate hain , kaash Aap azwaj e mutahharat ko parda ka hukm de dein . Is ke baad Allah ne parda ka hukm utara .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 402
حدثنا عمرو بن عون، قال: حدثنا هشيم، عن حميد، عن انس، قال: قال عمر: وافقت ربي في ثلاث، فقلت:" يا رسول الله، لو اتخذنا من مقام إبراهيم مصلى؟ فنزلت واتخذوا من مقام إبراهيم مصلى سورة البقرة آية 125، وآية الحجاب، قلت: يا رسول الله، لو امرت نساءك ان يحتجبن فإنه يكلمهن البر والفاجر، فنزلت آية الحجاب، واجتمع نساء النبي صلى الله عليه وسلم في الغيرة عليه، فقلت لهن: عسى ربه إن طلقكن، ان يبدله ازواجا خيرا منكن فنزلت هذه الآية"، وحدثنا ابن ابي مريم، قال: اخبرنا يحيى بن ايوب، قال: حدثني حميد، قال: سمعت انسا بهذا.
Hum se Amr bin Aun ne bayan kiya, kaha hum se Hushaim ne Humaid ke wasita se, unhon ne Anas bin Malik Razi Allah Anhu ke wasita se ke Umar Razi Allah Anhu ne farmaya ke meri teen baaton mein jo mere munh se nikla mere Rabb ne waisa hi hukm farmaya. Main ne kaha tha ke Ya Rasool Allah! Agar hum Maqam-e-Ibrahim ko namaz padhne ki jagah bana sakte to accha hota. Is par yeh ayat nazil hui. ” Aur tum Maqam-e-Ibrahim ko namaz padhne ki jagah bana lo “ doosri ayat parda ke baare mein hai. Main ne kaha tha ke Ya Rasool Allah kaash! Aap apni auraton ko parda ka hukm dete, kyunke un se acche aur bure har tarah ke log baat karte hain. Is par parda ki ayat nazil hui aur ek martaba Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki biwiyan josh o kharoash mein Aap ki khidmat mein ittifaq kar ke kuch mutalbat le kar hazir huein. Main ne un se kaha ke ho sakta hai ke Allah Paak tumhe talaq dila dein aur tumhare badle tum se behtar muslima biwiyan apne Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ko inayat karein, to yeh ayat nazil hui «asa Rabbuhu in tallaqakunna an yubdilahu azwajan khayran minkunna» aur Saeed Ibn Abi Maryam ne kaha ke mujhe Yahya bin Ayyub ne khabar di, kaha ke hum se Humaid ne bayan kiya, kaha main ne Anas Razi Allah Anhu se yeh hadees suni.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة