الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {ولا تخزني يوم يبعثون} :
Bab: Ayat ki tafseer“Ibrahim ne ye bhi dua ki thi ke ya Allah! mujhe ruswa na karna us din jab hisaab ke liye sab jama kiye jayenge”.
Hadith Number: 4768
وقال إبراهيم بن طهمان: عن ابن ابي ذئب، عن سعيد بن ابي سعيد المقبري، عن ابيه، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" إن إبراهيم عليه الصلاة والسلام يرى اباه يوم القيامة عليه الغبرة، والقترة الغبرة هي القترة".
Aur hum se Ibrahim bin Tahman ne kaha ke un se Ibn Abi Zib ne byaan kiya , un se Saeed bin Abi Saeed Maqburi ne , un se un ke walid ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Ibrahim alayhis-salatu was-salamu apne walid (Azar) ko Qayamat ke din gard-aalood kala kaloota dekhein ge . Imam Bukhari rahmahullah ne kaha «ghabaratun» aur «qataratun» hum-maani hain .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3349
حدثنا محمد بن كثير، اخبرنا سفيان، حدثنا المغيرة بن النعمان، قال: حدثني سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إنكم محشورون حفاة عراة غرلا، ثم قرا كما بدانا اول خلق نعيده وعدا علينا إنا كنا فاعلين سورة الانبياء آية 104 واول من يكسى يوم القيامة إبراهيم، وإن اناسا من اصحابي يؤخذ بهم ذات الشمال فاقول: اصحابي، اصحابي، فيقول: إنهم لم يزالوا مرتدين على اعقابهم منذ فارقتهم فاقول كما، قال: العبد الصالح وكنت عليهم شهيدا ما دمت فيهم فلما توفيتني إلى قوله العزيز الحكيم سورة المائدة آية 117 - 118".
Hum se Muhammad Bin Kaseer ne bayan kiya, kaha hum ko Sufyan Thauri ne khabar di, un se Mugheera Bin Numan ne bayan kiya, kaha ke mujh se Said Bin Jubair ne bayan kiya aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Tum log hashar mein nange paon, nange jism aur bin-khatna uthaye jao ge." Phir Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is ayat ki tilawat ki "kama bada-na awwala khalqin nu-iduhu wa-dan alaina inna kunna fa-ileena" "Jaisa ke hum ne paida kiya tha pehli martaba, hum aise hi lautayeinge. Ye hamari taraf se ek waada hai jis ko hum poora kar ke raheinge (Surah Al-Anbiya). Aur anbiya mein sab se pehle Ibrahim Alaihis Salam ko kapda pehnaya jaye ga aur mere ashab mein se baaz ko jahannum ki taraf le jaya jaye ga to mein pukar utthoon ga ke ye to mere ashab hain, mere ashab! Lekin mujhe bataya jaye ga ke Aap ki wafat ke baad in logon ne phir kufr ikhtiyar kar liya tha. Is waqt mein bhi wahi jumla kahoon ga jo naik bande (Isa Alaihis Salam) kaheinge 'wa-kuntu alaihim shahīdan ma dumtu fīhim' 'Jab tak mein un ke sath tha un par nigran tha.' Allah Ta'ala ke irshad 'al-Hakeemu' tak
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة