الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {فسوف يكون لزاما} هلكة:
Bab: Ayat ki tafseer“Pas an-qareeb ye (jhutlana un ke liye) baais-e-wabaal-e-dozakh ban kar rahe ga” «lazaaman» yani halaakat.
Hadith Number: 4767
حدثنا عمر بن حفص بن غياث، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، حدثنا مسلم، عن مسروق، قال: قال عبد الله:" خمس قد مضين الدخان، والقمر، والروم، والبطشة، واللزام، فسوف يكون لزاما".
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyas ne byaan kiya , kaha mujh se mere walid ne byaan kiya , kaha hum se Aamash ne byaan kiya , kaha hum se Muslim ne byaan kiya , un se Masrooq ne byaan kiya ke Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne kaha (Qayamat ki) paanch nishaniyan guzar chuki hain . Dhuwaan (is ka zikr aayat «yawma ta'tis-sama'u bi-dukhaanim mubeenin» mein hai) . Chaand ka phatna (is ka zikr aayat «iqtarabatis-saatu wan-shaqqal qamaru» mein hai) . Room ka maghloob hona (is ka zikr Surah «ghulibatir-roomu» mein hai) . «al-bat-shatu» yani Allah ki pakar jo Badr mein hui (is ka zikr «yawma nab-tishul bat-shatal kubra» mein hai) . Aur wabal jo Quraysh par Badr ke din aaya (is ka zikr aayat «fasaufa yakoonu lizaman» mein hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1007
حدثنا عثمان بن ابي شيبة، قال: حدثنا جرير، عن منصور، عن ابي الضحى، عن مسروق، قال: كنا عند عبد الله، فقال: إن النبي صلى الله عليه وسلم لما راى من الناس إدبارا، قال:" اللهم سبع كسبع يوسف، فاخذتهم سنة حصت كل شيء حتى اكلوا الجلود والميتة والجيف وينظر احدهم إلى السماء فيرى الدخان من الجوع"، فاتاه ابو سفيان، فقال: يا محمد إنك تامر بطاعة الله وبصلة الرحم، وإن قومك قد هلكوا فادع الله لهم، قال الله تعالى: فارتقب يوم تاتي السماء بدخان مبين إلى قوله إنكم عائدون يوم نبطش البطشة الكبرى سورة الدخان آية 10 - 16، فالبطشة: يوم بدر وقد مضت الدخان والبطشة واللزام وآية الروم.
Hum se Imam Humaidi ne byaan kiya , kaha ke hum se Sufyan Thauri ne byaan kiya , in se Sulayman A'mash ne , in se Abu al-Duha ne , in se Masrooq ne , in se Abdullah bin Masood ne (doosri sanad) hum se Uthman bin Abi Shaybah ne byaan kiya , kaha ke hum se Jarir bin Abdul Hameed ne Mansoor bin Masood bin Mutamar se byaan kiya , aur in se Abu al-Duha ne , in se Masrooq ne , unhon ne byaan kiya ke hum Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ki khidmat mein baithe hue thay . Aap ne farmaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne jab kuffar-e-Quraish ki sarkashi dekhi to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne bad-dua ki «Allahumma sab'an kasab'i Yusuf» ke ay Allah! saat baras ka qahet in par bhej jaise Yusuf alaihissalam ke waqt mein bheja tha chunanche aisa qahet para ke har cheez tabah ho gayi aur logun ne chamre aur murdar tak kha liye . Bhook ki shiddat ka yeh aalam tha ke aasman ki taraf nazar uthayi jati to dhowein ki tarah maloom hota tha aakhir majboor ho kar Abu Sufyan hazir-e-khidmat hue aur arz kiya ke ay Muhammad (salla Allahu alaihi wasallam)! Aap logun ko Allah ki itaat aur sila rehmi ka hukm dete hain . Ab to Aap hi ki qaum barbad ho rahi hai , is liye Aap Allah se in ke haq mein dua kijiye . Allah Ta'ala ne farmaya ke us din ka intezar kar jab aasman saaf dhowan nazar aayega aayat «innakum aa'idoon» tak (neez) jab hum sakhti se in ki girift karein ge (kuffar ki) sakht girift Badr ki larayi mein hui . Dhowein ka bhi muamla guzar chuka (jab sakht qahet para tha) jis mein pakar aur qaid ka zikr hai woh sab ho chuke isi tarah Surah Al-Room ki aayat mein jo zikr hai woh bhi ho chuka .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة