الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {إلا من تاب وآمن وعمل عملا صالحا فأولئك يبدل الله سيئاتهم حسنات وكان الله غفورا رحيما} :
Bab: Ayat ki tafseer“Magar haan jo taubah kare aur imaan laye aur nek kaam karta rahe, so un ki badiyon ko Allah nekiyon se badal de ga aur Allah to hai hi bara bakhshish karne wala bara hi meherbaan hai”.
Hadith Number: 4766
حدثنا عبدان، اخبرنا ابي، عن شعبة، عن منصور، عن سعيد بن جبير، قال:" امرني عبد الرحمن بن ابزى، ان اسال ابن عباس عن هاتين الآيتين: ومن يقتل مؤمنا متعمدا سورة النساء آية 93، فسالته، فقال: لم ينسخها شيء وعن والذين لا يدعون مع الله إلها آخر سورة الفرقان آية 68، قال: نزلت في اهل الشرك".
Hum se Abdan ne byaan kiya , kaha mujh ko mere walid ne khabar di , unhein Shubah ne , unhein Mansoor ne , un se Saeed bin Jubayr ne byaan kiya ke mujhe Abdur Rahman bin Abza ne hukm diya ke main Ibn Abbas razi Allahu anhuma se do aayaton ke baare mein poochon yani «wa man yaqtul mominan mutammidan» ”aur jis ne kisi momin ko jaan boojh kar qatl kiya“ al-kh . Main ne un se poocha to unhon ne farmaya ke yeh aayat kisi cheez se bhi mansookh nahi hui hai . (aur doosri aayat jis ke) baare mein mujhe unhon ne poochne ka hukm diya woh yeh thi «wallazhina la yad-u-na ma'allahi ilahan aakhara» ”aur jo log kisi mabood ko Allah ke saath nahi pukaarte“ Aap ne is ke mutalliq farmaya ke yeh mushrikeen ke baare mein nazil hui thi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3855
حدثنا عثمان بن ابي شيبة، حدثنا جرير، عن منصور، حدثني سعيد بن جبير، او قال: حدثني الحكم، عن سعيد بن جبير، قال: امرني عبد الرحمن بن ابزى، قال: سل ابن عباس عن هاتين الآيتين ما امرهما ولا تقتلوا النفس التي حرم الله إلا بالحق سورة الانعام آية 151 ,ومن يقتل مؤمنا متعمدا سورة النساء آية 93 فسالت ابن عباس، فقال:" لما انزلت التي في الفرقان"، قال: مشركو اهل مكة فقد قتلنا النفس التي حرم الله , ودعونا مع الله إلها آخر , وقد اتينا الفواحش، فانزل الله: إلا من تاب وآمن سورة مريم آية 60 الآية , فهذه لاولئك , واما التي في النساء: الرجل إذا عرف الإسلام وشرائعه ثم قتل , فجزاؤه جهنم , فذكرته لمجاهد، فقال:" إلا من ندم".
Hum se Usman Bin Abi Shaibah ne bayan kiya, kaha hum se Jarir ne bayan kiya, un se Mansoor ne, kaha mujh se Saeed Bin Jubair ne bayan kiya ya (Mansoor ne) is tarah bayan kiya ke mujh se Hakam ne bayan kiya, un se Saeed Bin Jubair ne bayan kiya ke mujh se Abdur Rahman Bin Abza Radi Allahu Anhu ne kaha ke Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma se in dono aayaton ke mutaliq poocho ke in mein mutabiqat kis tarah paida ki jaye (ek ayat «Wa la taqtulu-nnafsallati harramallahu» aur doosri ayat «Wa may yaqtul mu'minam muta'ammidan» hai. Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma se mein ne poocha to unhon ne batlaya ke jab Surah-ul-Furqan ki ayat nazil hui to mushrikeen-e-Makkah ne kaha hum ne to in jaanon ka bhi khoon kiya hai jin ke qatl ko Allah Ta'ala ne haram qarar diya tha hum Allah ke siwa doosre maboodon ki ibadat bhi karte rahe hain aur badkariyon ka bhi hum ne irtikab kiya hai. Is par Allah Ta'ala ne ayat nazil farmai «Illa man taba wa aamana» ”wo log is hukm se alag hain jo tauba kar lein aur iman le aayein“ to ye ayat un ke haqq mein nahi hai lekin Surah-an-Nisa ki ayat is shakhs ke bare mein hai jo Islam aur sharaye-e-Islam ke ahkam jaan kar bhi kisi ko qatl kare to is ki saza jahannum hai. Mein ne Abdullah Bin Abbas Radi Allahu Anhuma ke is irshad ka zikr Mujahid se kiya to unhon ne kaha ke wo log is hukm se alag hain jo tauba kar lein
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة