الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب قوله: {الذين يحشرون على وجوههم إلى جهنم أولئك شر مكانا وأضل سبيلا} :
Bab: Ayat ki tafseer yani“Ye woh log hain jo apne chehron ke bal jahannam ki taraf chalaye jayenge, ye log dozak mein thikane ke lehaz se bad-tareen honge aur ye raah chalne mein bohot hi bhatke hue hain”.
Show diacritics
Hadith Number: 4760
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا يونس بن محمد البغدادي، حدثنا شيبان، عن قتادة، حدثنا انس بن مالك رضي الله عنه، ان رجلا، قال: يا نبي الله، يحشر الكافر على وجهه يوم القيامة، قال:" اليس الذي امشاه على الرجلين في الدنيا قادرا على ان يمشيه على وجهه يوم القيامة"، قال قتادة: بلى، وعزة ربنا.
Hum se Abdullah bin Muhammad ne byaan kiya , kaha hum se Yunus bin Muhammad Baghdadi ne byaan kiya , kaha hum se Shayban ne byaan kiya , un se Qatadah ne , kaha hum se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne byaan kiya ke ek sahab ne poocha , Ae Allah ke Nabi! Kafir ko Qayamat ke din is ke chehre ke bal kis tarah chalaya jaye ga ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah jis ne usay is duniya mein do paon par chalaya hai is par qadir hai ke Qayamat ke din is ko is ke chehre ke bal chala de . Qatadah ne kaha yaqeenan hamare Rabb ki izzat ki qasam! Yunhi ho ga .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6523
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا يونس بن محمد البغدادي، حدثنا شيبان، عن قتادة، حدثنا انس بن مالك رضي الله عنه، ان رجلا، قال: يا نبي الله، كيف يحشر الكافر على وجهه؟ قال:" اليس الذي امشاه على الرجلين في الدنيا، قادرا على ان يمشيه على وجهه يوم القيامة"، قال قتادة: بلى وعزة ربنا.
Hum se Abdullah bin Muhammad ne bayan kiya , kaha hum se Yunus bin Muhammad Baghdadi ne bayan kiya , kaha hum se Shayban Nahwi ne bayan kiya , kaha in se Qatadah ne , kaha hamase Anas bin Malik razi Allahu anhu ne bayan kiya ke ek sahabi ne kaha , Ae Allah ke Nabi! Qayamat mein kafiron ko in ke chehre ke bal kis tarah hashr kiya jaye ga . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke woh zaat jis ne unhein duniya mein do paon par chalaya usay is par qudrat nahi hai ke Qayamat ke din unhein chehre ke bal chala de . Qatadah razi Allahu anhu ne kaha ke zaroor hai , hamare Rabb ki izzat ki qasam , beshak woh munh ke bal chala sakta hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة