الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب قوله: {إن الذين جاءوا بالإفك عصبة منكم لا تحسبوه شرا لكم بل هو خير لكم لكل امرئ منهم ما اكتسب من الإثم والذي تولى كبره منهم له عذاب عظيم} :
Bab: Ayat ki tafseer“Beshak jin logon ne (A’ishah Siddiqah Raziallahu Anha par) tuhmat lagayi hai woh tum mein se ek chhota sa giroh hai tum ise apne haq mein bura na samjho, balkeh ye tumhare haq mein behtar hi hai, un mein se har shakhs ko jis ne jitna jo kuch kiya tha gunah hua aur jis ne un mein se sab se barh kar hissa liya tha us ke liye saza bhi sab se barh kar sakht hai”.
Hadith Number: 4749
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان، عن معمر، عن الزهري، عن عروة، عن عائشة رضي الله عنها، والذي تولى كبره سورة النور آية 11، قالت:" عبد الله بن ابي ابن سلول".
Hum se Abu Naeem ne byaan kiya , kaha ke hum se Sufyan ne byaan kiya , un se Mamar ne , un se Zuhri ne , un se Urwah ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya «wallazhi tawalla kibrahu» yani aur jis ne in mein se sab se barh kar hissa liya tha aur murad Abdullah bin Ubayy bin Salool (munafiq) hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4593
حدثنا حفص بن عمر، حدثنا شعبة، عن ابي إسحاق، عن البراء رضي الله عنه، قال: لما نزلت لا يستوي القاعدون من المؤمنين سورة النساء آية 95، دعا رسول الله صلى الله عليه وسلم زيدا فكتبها، فجاء ابن ام مكتوم فشكا ضرارته، فانزل الله: غير اولي الضرر سورة النساء آية 95".
Hum se Hafs bin Umar ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , un se Abu Ishaq ne aur un se Bara bin Azib razi Allahu anhu ne kaha ke jab aayat «la yastawil qaidoona minal momineena» nazil hui to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Zayd bin Sabit razi Allahu anhu ko kitabat ke liye bulaya aur unhon ne woh aayat likh di . Phir Abdullah bin Umm Maktoom razi Allahu anhu hazir huay aur apne nabina hone ka uzr pesh kiya , to Allah Ta'ala ne «ghayru ulid-darari» ke alfaz aur nazil kiye .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة