الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب قوله: {أسرى بعبده ليلا من المسجد الحرام} :
Bab: Ayat «asra bi-‘abdihi laylan minal masjidil haram» ki tafseer.
Hadith Number: 4710
حدثنا احمد بن صالح، حدثنا ابن وهب، قال: اخبرني يونس، عن ابن شهاب، قال ابو سلمة: سمعت جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم يقول:" لما كذبني قريش قمت في الحجر، فجلى الله لي بيت المقدس، فطفقت اخبرهم عن آياته وانا انظر إليه. زاد يعقوب بن إبراهيم. حدثنا ابن اخي ابن شهاب، عن عمه: لما كذبني قريش حين اسري بي إلى بيت المقدس نحوه، قاصفا: ريح تقصف كل شيء.
Hum se Ahmad bin Salih ne byaan kiya , kaha hum se Abdullah bin Wahb ne byaan kiya , kaha ke mujhe Yunus bin Yazid ne khabar di , unhein Ibn Shihab ne , un se Abu Salamah ne byaan kiya aur unhon ne Jabir bin Abdullah Ansari razi Allahu anhuma se suna kaha ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna , Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab Quraysh ne mujh ko waqia e Meraj ke silsila mein jhutlaya to main (Kaaba ke) Maqam e Hijr mein khara hua tha aur mere samne poora Bayt al-Muqaddas kar diya gaya tha . Main usay dekh dekh kar is ki ek ek alamat byaan karne laga . Yaqoob bin Ibrahim ne apni riwayat mein yeh zyada kiya ke hum se Ibn Shihab ke bhatije ne apne chacha Ibn Shihab se byaan kiya ke (Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya) jab mujhe Quraysh ne Bayt al-Muqaddas ke Meraj ke silsila mein jhutlaya , phir pehli hadees ki tarah byaan kiya . «qaasifan» woh aandhi jo har cheez ko tabah kar de .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3886
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، حدثني ابو سلمة بن عبد الرحمن، سمعت جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، انه سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" لما كذبني قريش قمت في الحجر فجلا الله لي بيت المقدس فطفقت اخبرهم عن آياته وانا انظر إليه".
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, kaha hum se Lais ne bayan kiya, un se Aqeel ne, un se Ibn Shihab ne, ke mujh se kaha Abu Salama Bin Abdur Rahman ne ke mein ne Jabir Bin Abdullah Radi Allahu Anhuma se suna aur unhon ne Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se suna aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tha ke jab Quraish ne (Meraj ke waqia ke silsile mein) mujh ko jhutlaya to mein Hateem mein khara ho gaya aur Allah Ta'ala ne mere liye Bait-ul-Maqdis ko roshan kar diya aur mein ne ise dekh kar Quraish se is ke pate aur nishan bayan karna shuru kar diye
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة