الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {يثبت الله الذين آمنوا بالقول الثابت} :
Bab: Ayat ki tafseer yani“Allah imaan walon ko us ki pakki baat ki barkat se mazboot rakhta hai, dunya mein bhi aur aakhirat mein bhi”.
Hadith Number: 4699
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، قال: اخبرني علقمة بن مرثد، قال: سمعت سعد بن عبيدة، عن البراء بن عازب، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" المسلم إذا سئل في القبر، يشهد ان لا إله إلا الله، وان محمدا رسول الله، فذلك قوله: يثبت الله الذين آمنوا بالقول الثابت في الحياة الدنيا وفي الآخرة سورة إبراهيم آية 27".
Hum se Abu al-Waleed ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Shubah ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujhe Alqamah bin Marsad ne khabar di , unhon ne kaha ke main ne Saad bin Ubaydah se suna aur unhon ne Bara bin Azib razi Allahu anhu se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Musalman se jab qabr mein sawal ho ga to woh gawahi de ga ke Allah ke siwa koi mabood nahi aur yeh ke Muhammad Allah ke Rasool hain . Allah Ta'ala ke irshad «yusabbitullahullazhina aamanu bil-qaulis-sabiti fil-hayatid-dunya wa fil-aakhirati» ”Allah iman walon ki is pakki baat (ki barkat) se mazboot rakhta hai , dunyawi zindagi mein (bhi) aur aakhirat mein (bhi)“ ka yahi matlab hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1369
حدثنا حفص بن عمر، حدثنا شعبة، عن علقمة بن مرثد، عن سعد بن عبيدة، عن البراء بن عازب رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم , قال:" إذا اقعد المؤمن في قبره اتي، ثم شهد ان لا إله إلا الله وان محمدا رسول الله , فذلك قوله: يثبت الله الذين آمنوا بالقول الثابت سورة إبراهيم آية 27".
Hum se Hafs bin Amr ne byaan kiya ‘ kaha hum se Shubah ne ‘ un se Alqamah bin Marthad ne ‘ un se Saad bin Ubaydah ne aur un se Bara bin Azib razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke momin jab apni qabr mein bithaya jata hai to is ke paas farishte aate hain . Woh shahadat deta hai ke Allah ke siwa koi mabood nahin aur Muhammad salla Allahu alaihi wasallam Allah ke Rasool hain . To yeh Allah ke is farman ki tabeer hai jo Surah Ibrahim mein hai ke Allah iman walon ko dunya ki zindagi aur aakhirat mein theek baat yani tauheed par mazboot rakhta hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة