الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب قوله: {ويتم نعمته عليك وعلى آل يعقوب كما أتمها على أبويك من قبل إبراهيم وإسحاق} :
Bab: Ayat ki tafseer“Aur apna in’aam tumhare oopar aur aulad-e-Ya’qoob par poora kare ga jaisa ke woh ise is se pehle poora kar chuka hai, tumhare baap-dada Ibrahim aur Ishaq par”.
Hadith Number: 4688
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا عبد الصمد، عن عبد الرحمن بن عبد الله بن دينار، عن ابيه، عن عبد الله بن عمر رضي الله، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" الكريم ابن الكريم ابن الكريم ابن الكريم، يوسف بن يعقوب بن إسحاق بن إبراهيم.
Hum se Abdullah bin Muhammad ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Abdus Samad ne byaan kiya , un se Abdur Rahman bin Abdullah bin Dinar ne byaan kiya , un se un ke walid ne aur un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Kareem bin Kareem bin Kareem bin Kareem Yusuf bin Yaqoob bin Ishaq bin Ibrahim thay . (alayhimus-salatu was-salamu) .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3382
حدثنا إسحاق بن منصور اخبرنا عبد الصمد حدثنا عبد الرحمن بن عبد الله عن ابيه عن ابن عمر رضي الله عنهما عن النبي صلى الله عليه وسلم انه قال: «الكريم ابن الكريم ابن الكريم ابن الكريم يوسف ابن يعقوب بن إسحاق بن إبراهيم- عليهم السلام» .
Hum se Ishaq Bin Mansoor ne bayan kiya kaha hum ko Abd-ul-Samad ne khabar di kaha hum se Abd-ul-Rahman Bin Abdullah ne bayan kiya un se in ke walid ne aur un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Shareef Bin shareef Bin shareef Bin shareef Yusuf Bin Yaqub Bin Ishaq Bin Ibrahim Alaihis Salam thay."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3390
اخبرني عبدة، حدثنا عبد الصمد، عن عبد الرحمن، عن ابيه، عن ابن عمر رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" الكريم ابن الكريم ابن الكريم ابن الكريم يوسف بن يعقوب بن إسحاق بن إبراهيم عليهم السلام".
Mujhe Abdah Bin Abdullah ne khabar di unhon ne kaha hum se Abdussamad ne bayan kiya. Un se Abdur Rahman ne bayan kiya un se un ke walid Abdullah Bin Dinar ne bayan kiya aur un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Sharif bin Sharif bin Sharif bin Sharif Yusuf Bin Yaqub Bin Ishaq Bin Ibrahim (Alaihimus Salam) hain."
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة