الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب قوله: {ثاني اثنين إذ هما فى الغار} :
Bab: Ayat ki tafseer“Jab ke do mein se ek woh the dono ghaar mein (maujood) the jab woh Rasoolullah ﷺ apne saathi se keh rahe the ke fikr na kar Allah paak hamare sath hai”.
Show diacritics
Hadith Number: 4666
حدثنا محمد بن عبيد بن ميمون، حدثنا عيسى بن يونس، عن عمر بن سعيد، قال: اخبرني ابن ابي مليكة: دخلنا على ابن عباس،فقال:" الا تعجبون لابن الزبير، قام في امره هذا"، فقلت: لاحاسبن نفسي له ما حاسبتها لابي بكر ولا لعمر، ولهما كانا اولى بكل خير منه، وقلت: ابن عمة النبي صلى الله عليه وسلم، وابن الزبير، وابن ابي بكر، وابن اخي خديجة، وابن اخت عائشة، فإذا هو يتعلى عني، ولا يريد ذلك، فقلت: ما كنت اظن اني اعرض هذا من نفسي فيدعه، وما اراه يريد خيرا، وإن كان لا بد لان يربني بنو عمي، احب إلي من ان يربني غيرهم".
Hum se Muhammad bin Ubayd bin Maymoon ne byaan kiya , kaha hum se Esa bin Yunus ne , un se Amr bin Saeed ne , unhein Ibn Abi Mulaykah ne khabar di ke hum Ibn Abbas razi Allahu anhuma ki khidmat mein hazir huay to unhon ne kaha ke Ibn Zubayr par tumhein hairat nahi hoti . Woh ab khilafat ke liye kharay ho gaye hain to main ne irada kar liya ke un ke liye mehnat mushaqqat karoon ga ke aaisi mehnat aur mushaqqat main ne Abu Bakr aur Umar razi Allahu anhuma ke liye bhi nahi ki . Haalan ke woh donon in se har haisiyat se behtar thay . Main ne logon se kaha ke woh Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki phoopi ki aulad mein se hain . Zubayr razi Allahu anhu ke bete aur Abu Bakr razi Allahu anhu ke nawase , Khadija razi Allahu anha ke bhai ke bete , Aisha razi Allahu anha ki behen ke bete . Lekin Abdullah bin Zubayr ne kya kiya woh mujh se ghuroor karne lage . Unhon ne nahi chaha ke main un ke khaas musahibon mein rahoon (apne dil mein kaha) mujh ko hargiz yeh guman na tha ke main to un se aaisi aajzi karoon ga aur woh is par bhi mujh se raazi na hon ge . Khair ab mujhe umeed nahi ke woh mere saath bhalayi karein ge jo hona tha woh hua ab Bani Umayyah jo mere chacha zaad bhai hain agar mujh par hukoomat karein to yeh mujh ko auron ke hukoomat karne se zyada pasand hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3664
حدثنا عبدان، اخبرنا عبد الله، عن يونس، عن الزهري، قال: اخبرني ابن المسيب، سمع ابا هريرة رضي الله عنه، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" بينا انا نائم رايتني على قليب عليها دلو فنزعت منها ما شاء الله، ثم اخذها ابن ابي قحافة فنزع بها ذنوبا او ذنوبين وفي نزعه ضعف والله يغفر له ضعفه، ثم استحالت غربا فاخذها ابن الخطاب فلم ار عبقريا من الناس ينزع نزع عمر حتى ضرب الناس بعطن".
Hum se Abdan ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah bin al-Mubarak ne khabar di, unhein Yunus ne, un se Zuhri ne bayan kiya, kaha mujh ko Ibn al-Musayyib ne khabar di aur unhon ne Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne kaha ke mein ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se suna, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya ke mein so raha tha ke khwab mein mein ne apne aap ko ek kunwein par dekha jis par dol tha. Allah Ta'ala ne jitna chaha mein ne is dol se pani khincha, phir ise Ibn Abi Quhafah (Abu Bakr Radi Allahu Anhu) ne le liya aur unhon ne ek ya do dol khinche, in ke khinchne mein kuch kamzori si maloom hui Allah in ki is kamzori ko maaf farmaye. Phir is dol ne ek bahut bade dol ki surat ikhtiyar kar li aur ise Umar bin Khattab (Radi Allahu Anhu) ne apne hath mein le liya. Mein ne aisa shah-zor pehalwan aadmi nahi dekha jo Umar (Radi Allahu Anhu) ki tarah dol khinch sakta. Unhon ne itna pani nikala ke log ne apne onton ko houz se seerab kar liya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة