الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب قوله: {والذين يكنزون الذهب والفضة ولا ينفقونها فى سبيل الله فبشرهم بعذاب أليم} :
Bab: Ayat ki tafseer“Ay Nabi aur jo log sona aur chandi zameen mein gaar kar rakhte hain aur us ko Allah ke raaste mein kharch nahi karte! Aap unhein ek dard-naak azab ki khabar suna den”.
Hadith Number: 4660
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا جرير، عن حصين، عن زيد بن وهب، قال: مررت على ابي ذر، بالربذة، فقلت" ما انزلك بهذه الارض؟" قال: كنا بالشام، فقرات والذين يكنزون الذهب والفضة ولا ينفقونها في سبيل الله فبشرهم بعذاب اليم سورة التوبة آية 34"، قال معاوية: ما هذه فينا، ما هذه إلا في اهل الكتاب، قال: قلت:" إنها لفينا وفيهم".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne byaan kiya , kaha hum se Jareer ne byaan kiya , un se Husain ne , un se Zayd bin Wahb ne byaan kiya ke main Maqam e Rabzhah mein Abu Zharr Ghifari razi Allahu anhu ki khidmat mein hazir hua aur arz kiya ke is jangal mein Aap ne kyun qiyam ko pasand kiya ? Farmaya ke hum Sham mein thay . (mujh mein aur wahan ke hakim Muawiyah razi Allahu anhu mein ikhtilaf ho gaya) main ne yeh aayat parhi «wallazhina yaknizoonaz-zhahaba wal fiddata wa la yunfiqoonaha fee sabilillahi fabash-shirhum bi-azhaabin aleemin» ke ”aur jo log sona aur chaandi jama kar ke rakhte hain aur is ko kharch nahi karte Allah ki raah mein , Aap unhein ek dard-naak azab ki khabar suna dein .“ To Muawiyah razi Allahu anhu kehne lage ke yeh aayat hum Musalmanon ke baare mein nahi hai (jab woh zakat dete rahein) balkay Ahl e Kitab ke baare mein hai . Farmaya ke main ne is par kaha ke yeh hamare baare mein bhi hai aur Ahl e Kitab ke baare mein bhi hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1406
حدثنا علي، سمع هشيما، اخبرنا حصين، عن زيد بن وهب , قال:" مررت بالربذة فإذا انا بابي ذر رضي الله عنه، فقلت له: ما انزلك منزلك هذا؟ , قال: كنت بالشام فاختلفت انا ومعاوية في الذين يكنزون الذهب , والفضة ولا ينفقونها في سبيل الله، قال معاوية: نزلت في اهل الكتاب , فقلت: نزلت فينا وفيهم، فكان بيني وبينه في ذاك، وكتب إلى عثمان رضي الله عنه يشكوني، فكتب إلي عثمان ان اقدم المدينة فقدمتها، فكثر علي الناس حتى كانهم لم يروني قبل ذلك، فذكرت ذاك لعثمان , فقال لي: إن شئت تنحيت فكنت قريبا فذاك الذي انزلني هذا المنزل، ولو امروا علي حبشيا لسمعت واطعت".
Hum se Ali bin Abi Hashim ne byaan kiya ‘ unhon ne Hushaim se suna ‘ kaha ke humein Husain ne khabar di ‘ unhein Zaid bin Wahab ne kaha ke main maqam-e-Rabzah se guzar raha tha ke Abu Zar razi Allahu anhu dikhayi diye . Maine poocha ke Aap yahan kyun aa gaye hain ? Unhon ne jawab diya ke main Shaam mein tha to Muawiyah razi Allahu anhu se mera ikhtilaf (Quran ki aayat) ”jo log sona aur chandi jama karte hain aur unhein Allah ki raah mein kharch nahi karte“ ke mutalliq ho gaya . Muawiyah razi Allahu anhu ka kehna yeh tha ke yeh aayat Ahle Kitab ke baare mein nazil hui hai aur main yeh kehta tha ke Ahle Kitab ke saath hamare mutalliq bhi yeh nazil hui hai . Is ikhtilaf ke natija mein mere aur un ke darmiyan kuch talkhi paida ho gayi . Chunanche unhon ne Uthman razi Allahu anhu (jo in dino Khalifat-ul-Muslimeen thay) ke yahan meri shikayat likhi . Uthman razi Allahu anhu ne mujhe likha ke main Madina chala aaon . Chunanche main chala aaya . (Wahan jab puhancha) to logon ka mere yahan is tarah hujoom hone laga jaise unhon ne mujhe pehle dekha hi na ho . Phir jab maine logon ke is tarah apni taraf aane ke mutalliq Uthman razi Allahu anhu se kaha to unhon ne farmaya ke agar munasib samjho to yahan ka qiyam chhor kar Madina se qareeb hi kahin aur jagah alag qiyam ikhtiyar kar lo . Yahi baat hai jo mujhe yahan (Rabzah) tak le aayi hai . Agar woh mere oopar ek Habshi ko bhi ameer muqarrar kar dein to main is ki bhi sunoon ga aur itaat karoon ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة