الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الصلاة
Kitab: Namaz ke ahkam o masail
باب:
Bab: …
Hadith Number: 465
حدثنا محمد بن المثنى، قال: حدثنا معاذ بن هشام، قال: حدثني ابي، عن قتادة، قال: حدثنا انس،" ان رجلين من اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم خرجا من عند النبي صلى الله عليه وسلم في ليلة مظلمة ومعهما مثل المصباحين يضيئان بين ايديهما، فلما افترقا صار مع كل واحد منهما واحد حتى اتى اهله".
Hum se Muhammad bin Musanna ne bayan kiya unhon ne kaha hum se Muaz bin Hisham ne bayan kiya , unhon ne kaha mujh se mere walid ne Qatada ke wastay se bayan kiya , kaha hum se Anas raziyallahu anhu ne bayan kiya ke do shakhs Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ke pas se nikle , ek Abbad bin Bishr aur doosre sahib mere khayal ke mutabiq Usaid bin Huzair thay . Raat tareek thi aur dono ashab ke pas roshan chiragh ki tarah koi cheez thi jis se un ke aage aage roshni phail rahi thi pas jab woh dono ashab ek doosre se juda hue to har ek ke sath ek ek chiragh reh gaya jo ghar tak sath raha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3639
باب حدثني محمد بن المثنى، حدثنا معاذ، قال: حدثني ابي، عن قتادة، حدثنا انس رضي الله عنه" ان رجلين من اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم خرجا من عند النبي صلى الله عليه وسلم في ليلة مظلمة ومعهما مثل المصباحين يضيئان بين ايديهما، فلما افترقا صار مع كل واحد منهما واحد حتى اتى اهله".
Mujh se Muhammad bin Muthanna ne bayan kiya, kaha hum se Ma'adh ne bayan kiya, kaha ke mujh se mere walid ne bayan kiya, un se Qatadah ne aur un se Anas Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam se do sahabi (Usaid bin Hudair aur Abbad bin Bishr Radi Allahu Anhuma) utar kar (apne ghar) wapas hue. Raat andheri thi lekin do chiragh ki tarah ki koi cheez in ke aage roshni karti jati thin. Phir jab yeh dono (raste mein, apne apne ghar ki taraf jane ke liye) juda hue to woh cheez dono ke sath alag alag ho gayi aur is tarah woh apne ghar walon ke pas pahunch gaye.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3805
حدثنا علي بن مسلم، حدثنا حبان بن هلال، حدثنا همام، اخبرنا قتادة، عن انس رضي الله عنه، ان رجلين خرجا من عند النبي صلى الله عليه وسلم في ليلة مظلمة وإذا نور بين ايديهما حتى تفرقا , فتفرق النور معهما. وقال معمر: عن ثابت، عن انس إن اسيد بن حضير ورجلا من الانصار، وقال حماد: اخبرنا ثابت، عن انس كان اسيد بن حضير، وعباد بن بشر، عند النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Ali Bin Muslim ne bayan kiya, kaha hum se Habban ne bayan kiya, kaha hum se Hammam ne bayan kiya, unhein Qatadah ne khabar di aur unhein Anas Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki majlis se uth kar do Sahabi ek tareek raat mein (apne ghar ki taraf) jaane lage to ek ghaibi noor un ke aage aage chal raha tha, phir jab wo juda hue to un ke sath sath wo noor bhi alag alag ho gaya aur Ma'mar ne Sabit se bayan kiya aur un se Anas Radi Allahu Anhu ne ke Usaid Bin Hudair Radi Allahu Anhu aur ek doosre Ansari Sahabi (ke sath ye karamat pesh aayi thi) aur Hammad ne bayan kiya, unhein Sabit ne khabar di aur unhein Anas Radi Allahu Anhu ne ke Usaid Bin Hudair aur Abbad Bin Bishr Radi Allahu Anhuma ke sath ye karamat pesh aayi thi. Ye Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke hawala se naqal kiya hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة