الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب لا يستوي القاعدون من المؤمنين والمجاهدون فى سبيل الله:
Bab: Ayat ki tafseer“Imaan walon mein se (bila uzr gharon mein) baith rehne wale aur Allah ki raah mein apne maal aur apni jaan se jihad karne wale barabar nahi ho sakte”.
Show diacritics
Hadith Number: 4595
حدثنا إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام، ان ابن جريج اخبرهم. ح وحدثني إسحاق، اخبرنا عبد الرزاق، اخبرنا ابن جريج، اخبرني عبد الكريم، ان مقسما مولى عبد الله بن الحارث اخبره، ان ابن عباس رضي الله عنهما اخبره،" لا يستوي القاعدون من المؤمنين سورة النساء آية 95، عن بدر، والخارجون إلى بدر".
Hum se Ibrahim bin Musa ne byaan kiya , kaha hum ko Hisham ne khabar di , unhein Ibn Jurayj ne khabar di (doosri sanad) Imam Bukhari rahmahullah ne kaha aur mujh se Ishaq bin Mansoor ne byaan kiya , kaha hum ko Abdur Razzaq ne khabar di , kaha hum ko Ibn Jurayj ne khabar di , kaha hum ko Abdul Kareem Jurzi ne khabar di , unhein Abdullah bin Haris ke ghulam Miqsam ne khabar di aur unhein Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne khabar di ke «la yastawil qaidoona minal momineena» se isharah hai in logon ki taraf jo Badr mein shareek thay aur jinon ne bila kisi uzr ke Badr ki larai mein shirkat nahi ki thi , woh donon barabar nahi ho sakte .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3954
حدثني إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام، ان ابن جريج اخبرهم، قال: اخبرني عبد الكريم، انه سمع مقسما مولى عبد الله بن الحارث يحدث، عن ابن عباس، انه سمعه يقول:" لا يستوي القاعدون من المؤمنين سورة النساء آية 95 عن بدر والخارجون إلى بدر".
Hum se Ibrahim Bin Musa ne bayan kiya, hum ko Hisham ne khabar di, unhein Ibn Juraij ne khabar di, kaha ke mujhe Abdul Kareem ne khabar di, unhon ne Abdullah Bin Haris ke Maula Miqsam se suna, wo Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma se bayan karte thay, unhon ne bayan kiya ke (Surah-an-Nisa ki is ayat se) «La yastawil qa'idoona minal mu'mineena» jihad mein shirkat karne wale aur is mein shareek na hone wale barabar nahi ho sakte. Wo log murad hain jo Badr ki larai mein shareek hue aur jo is mein shareek nahi hue
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة