الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {ومن يقتل مؤمنا متعمدا فجزاؤه جهنم} :
Bab: Ayat ki tafseer“Aur jo koi kisi musalman ko jaan-bujh kar qatl kar de to us ki saza jahannam hai”.
Show diacritics
Hadith Number: 4590
حدثنا آدم بن ابي إياس، حدثنا شعبة، حدثنا مغيرة بن النعمان، قال: سمعت سعيد بن جبير، قال:" آية اختلف فيها اهل الكوفة، فرحلت فيها إلى ابن عباس فسالته عنها، فقال: نزلت هذه الآية ومن يقتل مؤمنا متعمدا فجزاؤه جهنم سورة النساء آية 93 هي آخر ما نزل وما نسخها شيء".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , kaha hum ko Mugheerah bin Numan ne khabar di , unhon ne kaha ke main ne Saeed bin Jubayr se suna , unhon ne byaan kiya ke ulema e Kufa ka is aayat ke baare mein ikhtilaf ho gaya tha . Chunanche main Ibn Abbas razi Allahu anhuma ki khidmat mein is ke liye safar kar ke gaya aur un se is ke mutalliq poocha . Unhon ne farmaya ke yeh aayat «wa man yaqtul mominan mutammidan fajazauhu jahannamu» ”aur jo koi Musalman ko jaan boojh kar qatl kare is ki saza dozakh hai .“ Nazil hui aur is baab ki yeh sab se aakhri aayat hai isay kisi aayat ne mansookh nahi kiya hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3855
حدثنا عثمان بن ابي شيبة، حدثنا جرير، عن منصور، حدثني سعيد بن جبير، او قال: حدثني الحكم، عن سعيد بن جبير، قال: امرني عبد الرحمن بن ابزى، قال: سل ابن عباس عن هاتين الآيتين ما امرهما ولا تقتلوا النفس التي حرم الله إلا بالحق سورة الانعام آية 151 ,ومن يقتل مؤمنا متعمدا سورة النساء آية 93 فسالت ابن عباس، فقال:" لما انزلت التي في الفرقان"، قال: مشركو اهل مكة فقد قتلنا النفس التي حرم الله , ودعونا مع الله إلها آخر , وقد اتينا الفواحش، فانزل الله: إلا من تاب وآمن سورة مريم آية 60 الآية , فهذه لاولئك , واما التي في النساء: الرجل إذا عرف الإسلام وشرائعه ثم قتل , فجزاؤه جهنم , فذكرته لمجاهد، فقال:" إلا من ندم".
Hum se Usman Bin Abi Shaibah ne bayan kiya, kaha hum se Jarir ne bayan kiya, un se Mansoor ne, kaha mujh se Saeed Bin Jubair ne bayan kiya ya (Mansoor ne) is tarah bayan kiya ke mujh se Hakam ne bayan kiya, un se Saeed Bin Jubair ne bayan kiya ke mujh se Abdur Rahman Bin Abza Radi Allahu Anhu ne kaha ke Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma se in dono aayaton ke mutaliq poocho ke in mein mutabiqat kis tarah paida ki jaye (ek ayat «Wa la taqtulu-nnafsallati harramallahu» aur doosri ayat «Wa may yaqtul mu'minam muta'ammidan» hai. Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma se mein ne poocha to unhon ne batlaya ke jab Surah-ul-Furqan ki ayat nazil hui to mushrikeen-e-Makkah ne kaha hum ne to in jaanon ka bhi khoon kiya hai jin ke qatl ko Allah Ta'ala ne haram qarar diya tha hum Allah ke siwa doosre maboodon ki ibadat bhi karte rahe hain aur badkariyon ka bhi hum ne irtikab kiya hai. Is par Allah Ta'ala ne ayat nazil farmai «Illa man taba wa aamana» ”wo log is hukm se alag hain jo tauba kar lein aur iman le aayein“ to ye ayat un ke haqq mein nahi hai lekin Surah-an-Nisa ki ayat is shakhs ke bare mein hai jo Islam aur sharaye-e-Islam ke ahkam jaan kar bhi kisi ko qatl kare to is ki saza jahannum hai. Mein ne Abdullah Bin Abbas Radi Allahu Anhuma ke is irshad ka zikr Mujahid se kiya to unhon ne kaha ke wo log is hukm se alag hain jo tauba kar lein
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة