الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {إن الذين يشترون بعهد الله وأيمانهم ثمنا قليلا أولئك لا خلاق لهم} لا خير:
Bab: Ayat ki tafseer“Beshak jo log Allah ke ahd aur apni qasmon ko thori qeemat par bech daalte hain, ye wahi log hain jin ke liye aakhirat mein koi bhalai nahi hai aur un ko dikh ka azab ho ga”.
Hadith Number: 4551
حدثنا علي هو ابن ابي هاشم، سمع هشيما، اخبرنا العوام بن حوشب، عن إبراهيم بن عبد الرحمن، عن عبد الله بن ابي اوفى رضي الله عنهما:" ان رجلا اقام سلعة في السوق فحلف فيها، لقد اعطى بها ما لم يعطه ليوقع فيها رجلا من المسلمين، فنزلت إن الذين يشترون بعهد الله وايمانهم ثمنا قليلا سورة آل عمران آية 77 إلى آخر الآية".
Hum se Ali bin Abu Hashim ne byaan kiya , unhon ne Hushaym se suna , unhon ne kaha hum ko Awam bin Haushab ne khabar di , unhein Ibrahim bin Abdur Rahman ne aur unhein Abdullah bin Abi Awfa razi Allahu anhu ne ke ek shakhs ne bazar mein saman bechte huay qasam khayi ke falan shakhs is saman ka itna rupiyah de raha tha , haalan ke kisi ne itni qemat nahi lagayi thi , balkay is ka maqsad yeh tha ke is tarah kisi Musalman ko woh dhoka de kar usay thag le to is par yeh aayat nazil hui «innallazhina yashtaroona biahdillahi wa aimanihim samanan qaleelan» ke ”beshak jo log Allah ke ahad aur apni qasmon ko thori qemat par bechte hain .“ Aakhir aayat tak .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2088
حدثنا عمرو بن محمد، حدثنا هشيم، اخبرنا العوام، عن إبراهيم بن عبد الرحمن، عن عبد الله بن ابي اوفى رضي الله عنه،" ان رجلا اقام سلعة وهو في السوق، فحلف بالله، لقد اعطى بها ما لم يعط ليوقع فيها رجلا من المسلمين، فنزلت: إن الذين يشترون بعهد الله وايمانهم ثمنا قليلا سورة آل عمران آية 77 الآية".
Hum se Amr Bin Muhammad ne bayan kiya, kaha ke hum se Hushaim ne bayan kiya, kaha ke hum ko Awam Bin Haushab ne khabar di, unhein Ibrahim Bin Abdur Rahman ne aur unhein Abdullah Bin Abi Aufa (Radi Allahu Anhu) ne ke bazaar mein ek shakhs ne ek saman dikha kar qasam khayi ke is ki itni qeemat lag chuki hai. Halankay is ki itni qeemat nahi lagi thi is qasam se is ka maqsad ek musalman ko dhoka dena tha. Is par ye ayat utri «Innal-ladheena yashtaroona bi-ahdil-lahi wa-aimanihim thamanan qaleela» ”Jo log Allah ke ahd aur apni qasmon ko thori qeemat ke badla mein bechte hain.“
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة