الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الصلاة
Kitab: Namaz ke ahkam o masail
باب أصحاب الحراب فى المسجد:
Bab: Chhote chhote nezon (bhalon) se masjid mein khelne walon ke bayan mein.
Hadith Number: 455
زاد إبراهيم بن المنذر، حدثنا ابن وهب، اخبرني يونس، عن ابن شهاب، عن عروة، عن عائشة، قالت: رايت النبي صلى الله عليه وسلم والحبشة يلعبون بحرابهم.
Ibrahim bin Al-Munzir se riwayat mein yeh zyadti manqool hai ke unhon ne kaha hum se Ibn Wahb ne bayan kiya , kaha ke mujhe Yunus ne Ibn Shihab ke wastay se khabar di , unhon ne Urwah se , unhon ne Aisha raziyallahu anha se ke mein ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ko dekha jab ke Habsha ke log chhote neezo bhalon se masjid mein khel rahe thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 454
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، قال: حدثنا إبراهيم بن سعد، عن صالح، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عروة بن الزبير، ان عائشة، قالت:" لقد رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم يوما على باب حجرتي والحبشة يلعبون في المسجد، ورسول الله صلى الله عليه وسلم يسترني بردائه، انظر إلى لعبهم".
Hum se Abdul Aziz bin Abdullah ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Ibrahim bin Saad ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Saleh bin Kaisan ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Ibn Shihab ne bayan kiya , unhon ne kaha ke mujhe Urwah bin Zubair ne khabar di ke Aisha raziyallahu anha ne kaha mein ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ko ek din apne hijra ke darwaze par dekha . Is waqt Habsha ke kuch log masjid mein neezo se khel rahe thay hathiyar chalane ki mashq kar rahe thay Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne mujhe apni chadar mein chhupa liya taake mein un ka khel dekh sakun .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2901
حدثنا إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام، عن معمر، عن الزهري، عن ابن المسيب، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال:" بينا الحبشة يلعبون عند النبي صلى الله عليه وسلم بحرابهم، دخل عمر فاهوى إلى الحصى فحصبهم بها، فقال: دعهم يا عمر"، وزاد علي، حدثنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر في المسجد".
Hum se Ibrahim Bin Musa ne bayan kiya, kaha hum ko Hisham ne khabar di, unhein Ma'mar ne, unhein Zuhri ne, unhein Ibn-ul-Musayyib ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Habsha ke kuch log Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke samne hirab (chhote neze) ka khel dikhla rahe thay ke Umar (Radi Allahu Anhu) aa gaye aur kankriyan utha kar unhein un se mara. Lekin aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Umar unhein khel dikhane do." Ali Bin Madini ne ye bayan ziyada kiya ke hum se Abdur Razzaq ne bayan kiya, unhein Ma'mar ne khabar di ke masjid mein (ye sahaba Radi Allahu Anhum apne khel ka muzahira kar rahe thay)
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5190
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا هشام، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن عروة، عن عائشة، قالت:" كان الحبش يلعبون بحرابهم، فسترني رسول الله صلى الله عليه وسلم وانا انظر، فما زلت انظر حتى كنت انا انصرف فاقدروا قدر الجارية الحديثة السن تسمع اللهو".
Hum se Abdullah bin Muhammad ne byaan kiya , kaha hum se Hisham bin Urwah ne byaan kiya , kaha hum ko Mamar ne khabar di , unhein Zuhri ne , unhein Urwah ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke kuch fauji khel ka nezah-baazi se mazahira kar rahe thay , to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne (apne jism e mubarak se) mere liye parda kiya aur main woh khel dekhti rahi . Main ne usay der tak dekha aur khud hi ukata kar laut aayi . Ab tum khud samajh lo ke ek kam umr larki khel ko kitni der tak dekh sakti hai aur is mein dil-chaspi le sakti hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5236
حدثنا إسحاق بن إبراهيم الحنظلي، عن عيسى، عن الاوزاعي، عن الزهري، عن عروة، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" رايت النبي صلى الله عليه وسلم يسترني بردائه وانا انظر إلى الحبشة يلعبون في المسجد حتى اكون انا التي اسام، فاقدروا قدر الجارية الحديثة السن الحريصة على اللهو".
Hum se Ishaq bin Ibrahim Hanzhali ne byaan kiya, un se Esa bin Yunus ne byaan kiya, un se Awzai ne, un se Zuhri ne, un se Urwah ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke main ne dekha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam mere liye apni chadar se parda kiye huay hain. Main Habsha ke in logon ko dekh rahi thi jo masjid mein (jangi) khel ka mazahira kar rahe thay, aakhir main hi ukata gayi. Ab tum samajh lo ek kam umr larki jis ko khel tamasha dekhne ka bara shauq hai kitni der tak dekhti rahi ho gi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة