الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {وقوموا لله قانتين} مطيعين:
Bab: Ayat «wa qoomoo lillahi qaaniteen» ki tafseer «qaaniteen» bama’ni «muti’een» yani farmanbardar.
Hadith Number: 4534
حدثنا مسدد , حدثنا يحيى , عن إسماعيل بن ابي خالد , عن الحارث بن شبيل , عن ابي عمرو الشيباني، عن زيد بن ارقم , قال:" كنا نتكلم في الصلاة يكلم احدنا اخاه في حاجته حتى نزلت هذه الآية حافظوا على الصلوات والصلاة الوسطى وقوموا لله قانتين سورة البقرة آية 238، فامرنا بالسكوت".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , kaha hum se Yahya Qattan ne byaan kiya , un se Ismail bin Abi Khalid ne , un se Haris bin Shibl ne , un se Abu Amr Shaybani ne aur un se Zayd bin Arqam razi Allahu anhu ne byaan kiya ke pehle hum namaz parhte huay baat bhi kar liya karte thay , koi bhi shakhs apne doosre bhai se apni kisi zaroorat ke liye baat kar leta tha . Yahan tak ke yeh aayat nazil hui «hafizhu ala-ssalawati wassalatil wusta wa qoomu lillahi qaniteen» ”sab hi namazon ki pabindi rakho aur khaas taur par beech wali namaz ki aur Allah ke samne farman-bardaron ki tarah kharay hua karo .“ Is aayat ke zariye hamain namaz mein chup rehne ka hukm diya gaya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1200
حدثنا إبراهيم بن موسى، اخبرنا عيسى هو ابن يونس، عن إسماعيل، عن الحارث بن شبيل، عن ابي عمرو الشيباني , قال: قال لي زيد بن ارقم:" إن كنا لنتكلم في الصلاة على عهد النبي صلى الله عليه وسلم يكلم احدنا صاحبه بحاجته حتى نزلت: حافظوا على الصلوات سورة البقرة آية 238، فامرنا بالسكوت".
Hum se Ibrahim bin Musa ne byaan kiya , unhon ne kaha hum ko Isa bin Yunus ne khabar di , unhein Ismail bin Abi Khalid ne , unhein Harith bin Shubayl ne , unhein Abu Amr bin Saad bin Abi Iyas Shaybani ne bataya ke mujh se Zayd bin Arqam razi Allahu anhu ne batlaya ke hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke ehad mein namaaz parhne mein baatein kar liya karte thay . Koi bhi apne qareeb ke namazi se apni zaroorat byaan kar deta . Phir aayat «haafizoo alas-salawaat...» utri aur humein (namaaz mein) khamosh rehne ka hukm hua .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة