الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {يا أيها الذين آمنوا كتب عليكم القصاص فى القتلى الحر بالحر} إلى قوله: {عذاب أليم} :
Bab: Ayat ki tafseer“Ay imaan walo! tum par maqtoolon ke bare mein badla lena farz kar diya gaya hai, azaad ke badle mein azaad aur ghulam ke badle mein ghulam”aakhir ayat «azabun aleem» tak.
Show diacritics
Hadith Number: 4498
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان , حدثنا عمرو , قال: سمعت مجاهدا , قال: سمعت ابن عباس رضي الله عنهما، يقول: كان في بني إسرائيل القصاص ولم تكن فيهم الدية , فقال الله تعالى لهذه الامة: كتب عليكم القصاص في القتلى الحر بالحر والعبد بالعبد والانثى بالانثى فمن عفي له من اخيه شيء سورة البقرة آية 178 فالعفو ان يقبل الدية في العمد فاتباع بالمعروف واداء إليه بإحسان سورة البقرة آية 178 يتبع بالمعروف ويؤدي بإحسان ذلك تخفيف من ربكم ورحمة سورة البقرة آية 178 مما كتب على من كان قبلكم فمن اعتدى بعد ذلك فله عذاب اليم سورة البقرة آية 178 قتل بعد قبول الدية".
Hum se Humaydi ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Sufyan ne byaan kiya , un se Amr ne byaan kiya , unhon ne kaha ke main ne Mujahid se suna , unhon ne kaha ke main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se suna , unhon ne byaan kiya ke Bani Israeel mein qisas yani badla tha lekin diyat nahi thi . Is liye Allah Ta'ala ne is ummat se kaha ke ”tum par maqtoolon ke baab mein qisas farz kiya gaya , aazad ke badle mein aazad aur ghulam ke badle mein ghulam aur aurat ke badle mein aurat , haan jis kisi ko us ke fareeq e maqtool ki taraf se kuch maafi mil jaye .“ To maafi se murad yahi diyat qabool karna hai . So mutalba maqool aur narm tariqa se ho aur mutalba ko is fareeq ke paas khubi se pahunchaya jaye . Yeh tumhare Parvardigar ki taraf se riayat aur meherbani hai .“ Yani is ke muqabla mein jo tum se pehli ummaton par farz tha . ”So jo koi is ke baad bhi ziyadati kare ga , is ke liye aakhirat mein dard-naak azab ho ga .“ (ziyadati se murad yeh hai ke) diyat bhi le li aur phir is ke baad qatl bhi kar diya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6881
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا سفيان، عن عمرو، عن مجاهد، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: كانت في بني إسرائيل قصاص ولم تكن فيهم الدية، فقال الله لهذه الامة: كتب عليكم القصاص في القتلى إلى هذه الآية فمن عفي له من اخيه شيء سورة البقرة آية 178، قال ابن عباس، فالعفو ان يقبل الدية في العمد، قال: فاتباع بالمعروف ان يطلب بمعروف ويؤدي بإحسان".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne bayan kiya, in se Amr bin Dinar ne bayan kiya, in se Mujahid bin Jubayr ne bayan kiya, aur in se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Bani Israeel mein sirf qisas ka rawaj thu, diyat ki surat nahi ku. Phir is ummat ke liye yeh hukm nazil hua «kutiba alaikumul-qisaasu fil-qatlaa» alkh. Ibn Abbas ne kaha «fa-man ufiya lahoo min akheehi shay-un» se yahi murad hai ke maqtul ke waris qatl e amd mein diyat par raazi ho jayein aur «fat-tibaa-um-bil-ma-roofi» se yeh murad hai ke maqtul ke waris dastoor ke muafiq qatil se diyat ka taqaza karein «wa adaaa-un ilaihi bi-ihsaanin» se yeh murad hai ke qatil achhi tarah khush-dali se diyat ada kare.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة