الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {ومن حيث خرجت فول وجهك شطر المسجد الحرام وإنه للحق من ربك وما الله بغافل عما تعملون} :
Bab: Ayat ki tafseer“Aur Aap jis jagah se bhi bahar niklen namaz mein apna munh Masjid-ul-Haram ki taraf mor liya karen aur ye hukm Aap ke Parwardigar ki taraf se bilkul haq hai aur Allah is se be-khabar nahi, jo tum kar rahe ho”.
Hadith Number: 4493
حدثنا موسى بن إسماعيل , حدثنا عبد العزيز بن مسلم , حدثنا عبد الله بن دينار , قال: سمعت ابن عمر رضي الله عنهما، يقول:" بينا الناس في الصبح بقباء إذ جاءهم رجل، فقال:" انزل الليلة قرآن، فامر ان يستقبل الكعبة فاستقبلوها واستداروا كهيئتهم فتوجهوا إلى الكعبة، وكان وجه الناس إلى الشام".
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya , unhone kaha hum se Abdul Aziz bin Muslim ne bayan kiya , un se Abdullah bin Dinar ne bayan kiya , kaha ke main ne Ibn Umar rz se suna , unhone bayan kiya ke log Quba mein subah ki namaz parh rahe thay ke ek sahab aaye aur kaha ke raat Quran nazil hua hai aur Kaaba ki taraf munh kar lene ka hukm hua hai . Is liye aap log bhi Kaaba ki taraf munh kar lein aur jis halat mein hain , isi tarah us ki taraf mutawajja ho jayein (yeh sunte hi) tamam Sahaba rz Kaaba ki taraf mutawajja ho gaye . Is waqt logon ka munh Shaam ki taraf tha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 403
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك بن انس، عن عبد الله بن دينار، عن عبد الله بن عمر، قال: بينا الناس بقباء في صلاة الصبح إذ جاءهم آت، فقال:" إن رسول الله صلى الله عليه وسلم قد انزل عليه الليلة قرآن وقد امر ان يستقبل الكعبة فاستقبلوها"، وكانت وجوههم إلى الشام، فاستداروا إلى الكعبة.
Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya, unhon ne kaha humein Imam Malik ne Abdullah bin Dinar ke wasita se, unhon ne Abdullah bin Umar se, Aap ne farmaya ke log Quba mein fajr ki namaz padh rahe thay ke itne mein ek aane wala aaya. Us ne bataya ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam par kal wahi nazil hui hai aur unhein Kaaba ki taraf (namaz mein) munh karne ka hukm ho gaya hai. Chunanchay un logon ne bhi Kaaba ki janib munh kar liye jab ke is waqt woh Sham ki janib munh kiye hue thay, is liye woh sab Kaaba ki janib ghoom gaye.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة