الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {وإذ قلنا ادخلوا هذه القرية فكلوا منها حيث شئتم رغدا وادخلوا الباب سجدا وقولوا حطة نغفر لكم خطاياكم وسنزيد المحسنين} :
Bab: Ayat ki tafseer“Aur jab hum ne kaha ke is basti mein dakhil ho jao aur poori kushadagi ke sath jahan chaho apna rizq khao aur darwaze se jhukte hue dakhil hona, yun kehte hue ke Ay Allah! hamare gunah maaf kar de to hum tumhare gunah maaf kar denge aur khuloos ke sath amal karne walon ke sawab mein hum zyadati karenge”.
Hadith Number: 4479
حدثني محمد , حدثنا عبد الرحمن بن مهدي , عن ابن المبارك , عن معمر , عن همام بن منبه , عن ابي هريرة رضي الله عنه , عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" قيل لبني إسرائيل وادخلوا الباب سجدا وقولوا حطة سورة البقرة آية 58، فدخلوا يزحفون على استاههم فبدلوا، وقالوا حطة حبة في شعرة".
Hum se Usman bin Abi Shaybah ne byaan kiya , kaha ke hum se Jareer ne byaan kiya , un se Mansoor ne , un se Abu Wail ne , un se Amr bin Sharahbeel ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se poocha , Allah ke nazdeek kaun sa gunah sab se bara hai ? Farmaya aur yeh ke tum Allah ke saath kisi ko barabar thehrao haalan ke Allah hi ne tum ko paida kiya hai . Main ne arz kiya yeh to waqayi sab se bara gunah hai , phir is ke baad kaun sa gunah sab se bara hai ? Farmaya yeh ke tum apni aulad ko is khauf se maar daalo ke woh tumhare saath khayein ge . Main ne poocha aur is ke baad ? Farmaya yeh ke tum apne parosi ki aurat se zina karo .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3403
حدثني إسحاق بن نصر، حدثنا عبد الرزاق، عن معمر، عن همام بن منبه، انه سمع ابا هريرة رضي الله عنه، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" قيل لبني إسرائيل ادخلوا الباب سجدا وقولوا حطة فبدلوا فدخلوا يزحفون على استاههم وقالوا حبة في شعرة".
Mujh se Ishaq Bin Nasr ne bayan kiya kaha hum se Abdur Razzaq ne bayan kiya un se Maamar ne un se Hammam Bin Munabbih ne aur unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se suna. Unhon ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Bani Israel ko hukam hua tha ke Bait-ul-Muqaddas mein sajda-o-ruku karte hue dakhil hon aur ye kehte hue ke ya Allah! Hum ko bakhsh de. Lekin unhon ne is ko ulta kiya aur apne choutaron ke bal ghisat-te hue dakhil hue aur ye kehte hue «habbatun fi sha-ratin» (yani baliyon mein daane khoob hon) dakhil hue."
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4641
حدثنا إسحاق، اخبرنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر، عن همام بن منبه، انه سمع ابا هريرة رضي الله عنه، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" قيل لبني إسرائيل، وادخلوا الباب سجدا وقولوا حطة نغفر لكم خطاياكم سورة البقرة آية 58 فبدلوا فدخلوا يزحفون على استاههم، وقالوا: حبة في شعرة".
Hum se Ishaq ne byaan kiya , kaha hum ko Abdur Razzaq ne khabar di , kaha hum ko Mamar ne khabar di , unhein Hammam bin Munabbih ne , unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna , unhon ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Bani Israeel se kaha gaya tha ke darwaze mein (aajzi se) jhukte huay dakhil ho aur kehte jao ke tauba hai , to hum tumhari khatayein maaf kar dein ge , lekin unhon ne hukm badal dala . Chotaron ke bal ghisat-te huay dakhil huay aur yeh kaha ke «habbatun fee sharatun» yani hum ko baliyon mein dana chahiye .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة