الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب كتاب النبى صلى الله عليه وسلم إلى كسرى وقيصر:
Bab: Kisra (Shah-e-Iran) aur Qaisar (Shah-e-Room) ko Rasoolullah ﷺ ka khutoot likhna.
Show diacritics
Hadith Number: 4426
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، قال: سمعت الزهري، عن السائب بن يزيد، يقول:" اذكر اني خرجت مع الغلمان إلى ثنية الوداع نتلقى رسول الله صلى الله عليه وسلم"، وقال سفيان: مرة مع الصبيان.
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , kaha ke main ne Zuhri se suna , unhon ne Saib bin Yazid razi Allahu anhu se suna , woh byaan karte thay ke mujhe yaad hai jab main bachon ke saath Saniyat al-Wida ki taraf Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ka istiqbal karne gaya tha . Sufyan ne ek martaba ( «ma-al ghilman» ke bajaye) «ma-as sibyan» byaan kiya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3083
حدثنا مالك بن إسماعيل، حدثنا ابن عيينة، عن الزهري، قال: قال السائب بن يزيد رضي الله عنه:" ذهبنا نتلقى رسول الله صلى الله عليه وسلم مع الصبيان إلى ثنية الوداع".
Hum se Malik Bin Ismail ne bayan kiya, kaha ke hum se Sufyan Bin Uyaina ne bayan kiya, un se Zuhri ne bayan kiya ke Saib Bin Yazid (Radi Allahu Anhu) ne kaha, (jab Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ghazwa Tabuk se wapas tashreef la rahe thay to) hum sab bacche Thaniyat-ul-Wada tak Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka istiqbal karne gaye thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة