الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب قصة الأسود العنسي:
Bab: Aswad Ansi ka qissa.
Show diacritics
Hadith Number: 4378
حدثنا سعيد بن محمد الجرمي، حدثنا يعقوب بن إبراهيم، حدثنا ابي، عن صالح، عن ابن عبيدة بن نشيط وكان في موضع آخر اسمه عبد الله، ان عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، قال: بلغنا ان مسيلمة الكذاب قدم المدينة، فنزل في دار بنت الحارث، وكان تحته بنت الحارث بن كريز وهي ام عبد الله بن عامر، فاتاه رسول الله صلى الله عليه وسلم ومعه ثابت بن قيس بن شماس وهو الذي يقال له: خطيب رسول الله صلى الله عليه وسلم، وفي يد رسول الله صلى الله عليه وسلم قضيب، فوقف عليه، فكلمه، فقال له مسيلمة: إن شئت خليت بيننا وبين الامر ثم جعلته لنا بعدك، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" لو سالتني هذا القضيب ما اعطيتكه، وإني لاراك الذي اريت فيه ما اريت، وهذا ثابت بن قيس وسيجيبك عني"، فانصرف النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Saeed bin Muhammad Jarmi ne byaan kiya , kaha hum se Yaqoob bin Ibrahim ne byaan kiya , kaha mujh se un ke walid Ibrahim bin Saad ne , un se Salih bin Kaysan ne , un se Ibn Ubaydah bin Nasheet ne , doosre mauqa par (Ibn Ubaydah razi Allahu anhu) ke naam ki tasreeh hai yani Abdullah aur un se Ubaydullah bin Abdullah bin Utbah ne byaan kiya ke hamain maloom hai ke jab Musaylamah Kazzab Madinah aaya to Bint Harith ke ghar us ne qiyam kiya , kyunke Bint Harith bin Kurayz us ki biwi thi . Yahi Abdullah bin Abdullah bin Damir ki maan hai , phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam us ke yahan tashreef laye (tableegh ke liye) Aap ke saath Sabit bin Qays bin Shammas razi Allahu anhu bhi thay . Sabit razi Allahu anhu wahi hain jo Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke khateeb ke naam se mashhoor thay . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke hath mein ek chhari thi . Aap salla Allahu alaihi wasallam us ke paas aa kar thehar gaye aur us se guftagu ki aur usay Islam ki dawat di . Musaylamah ne kaha ke main is shart par Musalman hota hoon ke Aap ke baad mujh ko hukoomat mile . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar tum mujh se yeh chhari maango ge to main yeh bhi nahi de sakta aur main to samajhta hoon ke tum wahi ho jo mujhe khwab mein dikhaye gaye thay . Yeh Sabit bin Qays razi Allahu anhu hain aur meri taraf se tumhari baaton ka yahi jawab dein ge , phir Aap salla Allahu alaihi wasallam wapas tashreef le aaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3620
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن عبد الله بن ابي حسين، حدثنا نافع بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: قدم مسيلمة الكذاب على عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم فجعل، يقول: إن جعل لي محمد الامر من بعده تبعته وقدمها في بشر كثير من قومه فاقبل إليه رسول الله صلى الله عليه وسلم ومعه ثابت بن قيس بن شماس وفي يد رسول الله صلى الله عليه وسلم قطعة جريد حتى وقف على مسيلمة في اصحابه، فقال:" لو سالتني هذه القطعة ما اعطيتكها ولن تعدو امر الله فيك ولئن ادبرت ليعقرنك الله، وإني لاراك الذي اريت فيك ما رايت".
Hum se Abu al-Yaman ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Shuaib ne khabar di, unhein Abdullah bin Abi Husain ne, un se Nafi bin Jubair ne bayan kiya aur un se Abdullah bin Abbas Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ke zamana mein Musailimah Kazzab Madinah mein aaya aur yeh kehne laga ke agar Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) "Amr" (yani khilafat) ko apne baad mujhe saunp dein to mein un ki ittaba ke liye tayyar hun. Musailimah apne bahut se mureedon ko sath le kar Madinah aaya tha. Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam is ke pas (ise samajhane ke liye) tashreef le gaye. Aap ke sath Thabit bin Qais bin Shamas Radi Allahu Anhu thay aur Aap ke hath mein khajoor ki ek chhari thi. Aap wahan thehar gaye jahan Musailimah apne aadmiyon ke sath maujood tha. To Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne us se farmaya agar tu mujh se chhari bhi mange to mein tujhe nahi de sakta (khilafat to badi cheez hai) aur Parwardigar ki marzi ko tu taal nahi sakta agar tu Islam se peeth pherega to Allah tujh ko tabah kar dega. Aur mein samajhta hun ke tu wahi hai jo mujhe (khwab mein) dikhaya gaya tha.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة