الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب بعث أبى موسى ومعاذ إلى اليمن قبل حجة الوداع:
Bab: Hajjat-ul-Wada’ se pehle Nabi Karim ﷺ ka Abu Musa Ash’ari aur Mu’adh bin Jabal Radiallahu Anhuma ko Yaman bhejna.
Show diacritics
Hadith Number: 4342
حدثنا موسى، حدثنا ابو عوانة، حدثنا عبد الملك، عن ابي بردة، قال: بعث رسول الله صلى الله عليه وسلم ابا موسى ومعاذ بن جبل إلى اليمن، قال: وبعث كل واحد منهما على مخلاف، قال: واليمن مخلافان، ثم قال:" يسرا ولا تعسرا، وبشرا ولا تنفرا"، فانطلق كل واحد منهما إلى عمله، وكان كل واحد منهما إذا سار في ارضه كان قريبا من صاحبه احدث به عهدا فسلم عليه، فسار معاذ في ارضه قريبا من صاحبه ابي موسى، فجاء يسير على بغلته حتى انتهى إليه، وإذا هو جالس، وقد اجتمع إليه الناس وإذا رجل عنده قد جمعت يداه إلى عنقه، فقال له معاذ: يا عبد الله بن قيس، ايم هذا؟ قال: هذا رجل كفر بعد إسلامه، قال: لا انزل حتى يقتل، قال: إنما جيء به لذلك، فانزل، قال: ما انزل حتى يقتل، فامر به فقتل، ثم نزل، فقال: يا عبد الله، كيف تقرا القرآن؟ قال: اتفوقه تفوقا، قال: فكيف تقرا انت يا معاذ؟ قال: انام اول الليل، فاقوم وقد قضيت جزئي من النوم، فاقرا ما كتب الله لي، فاحتسب نومتي كما احتسب قومتي.
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , kaha hum se Abu Awanah ne byaan kiya , kaha hum se Abdul Malik bin Umayr ne byaan kiya , un se Abu Burdah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Abu Musa Ash'ari aur Maaz bin Jabal razi Allahu anhuma ko Yaman ka hakim bana kar bheja . Rawi ne byaan kiya ke donon sahabiyon ko is ke ek ek soobe mein bheja . Rawi ne byaan kiya ke Yaman ke do soobe thay . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne un se farmaya ke dekho logon ke liye aasaniyan paida karna , dushwariyan na paida karna , unhein khush karne ki koshish karna , deen se nafrat na dilana . Yeh donon buzurg apne apne kaamon par rawana ho gaye . Donon mein se jab koi apne ilaqe ka daura karte karte apne doosre saathi ke paas pahunch jata to un se taazi (mulaqat) ke liye aata aur salam karta . Ek martaba Maaz razi Allahu anhu apne ilaqa mein apne sahib Abu Musa razi Allahu anhu ke qareeb pahunch gaye aur apne khachar par un se mulaqat ke liye chale . Jab un ke qareeb pahunche to dekha ke woh baithe huay hain aur un ke paas kuch log jama hain aur ek shakhs un ke samne hai jis ki mushkein kasi hui hain . Maaz razi Allahu anhu ne un se poocha: Ae Abdullah bin Qays! Yeh kya waqia hai ? Abu Musa razi Allahu anhu ne batlaya ke yeh shakhs Islam lane ke baad murtad ho gaya hai . Unhon ne kaha ke phir jab tak usay qatl na kar diya jaye main apni sawari se nahi utaroon ga . Musa razi Allahu anhu ne kaha ke qatl karne hi ke liye usay yahan laya gaya hai . Aap utar jayein lekin unhon ne ab bhi yahi kaha ke jab tak usay qatl na kiya jaye ga main na utaroon ga . Aakhir Musa razi Allahu anhu ne hukm diya aur usay qatl kar diya gaya . Tab woh apni sawari se utray aur poocha , Abdullah! Aap Quran kis tarah parhte hain ? Unhon ne kaha main to thora thora har waqt parhta rehta hoon phir unhon ne Maaz razi Allahu anhu se poocha ke Maaz! Aap Quran Majeed kis tarah parhte hain ? Maaz razi Allahu anhu ne kaha ke main to raat ke shuru mein sota hoon phir apni neend ka ek hissa poora kar ke main uth baithta hoon aur jo kuch Allah Ta'ala ne mere liye muqaddar kar rakkha hai is mein Quran Majeed parhta hoon . Is tarah bedari mein jis sawab ki umeed Allah Ta'ala se rakhta hoon sone ki halat ke sawab ka bhi us se isi tarah umeedwar rehta hoon .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4345
حدثنا مسلم، حدثنا شعبة، حدثنا سعيد بن ابي بردة، عن ابيه، قال: بعث النبي صلى الله عليه وسلم جده ابا موسى ومعاذا إلى اليمن، فقال:" يسرا ولا تعسرا، وبشرا ولا تنفرا، وتطاوعا"، فقال ابو موسى: يا نبي الله، إن ارضنا بها شراب من الشعير المزر، وشراب من العسل البتع، فقال:" كل مسكر حرام"، فانطلقا، فقال معاذ لابي موسى: كيف تقرا القرآن؟ قال: قائما وقاعدا وعلى راحلتي واتفوقه تفوقا، قال: اما انا فانام واقوم، فاحتسب نومتي كما احتسب قومتي، وضرب فسطاطا فجعلا يتزاوران، فزار معاذ ابا موسى فإذا رجل موثق، فقال: ما هذا؟ فقال ابو موسى: يهودي اسلم، ثم ارتد، فقال معاذ: لاضربن عنقه. تابعه العقدي، ووهب، عن شعبة، وقال وكيع، والنضر، وابو داود، عن شعبة، عن سعيد، عن ابيه، عن جده، عن النبي صلى الله عليه وسلم. رواه جرير بن عبد الحميد، عن الشيباني، عن ابي بردة.
Hum se Muslim ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , kaha hum se Saeed bin Abi Burdah ne aur un ke walid ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne un ke dada Abu Musa razi Allahu anhu aur Maaz bin Jabal razi Allahu anhu ko Yaman ka hakim bana kar bheja aur farmaya ke logon ke liye aasani paida karna , un ko dushwariyon mein na daalna . Logon ko khush khabriyaan dena deen se nafrat na dilana aur tum donon aapas mein muwafaqat rakhna . Is par Abu Musa Ash'ari razi Allahu anhu ne arz kiya: Ae Allah ke Nabi! Hamare mulk mein jau se ek sharab tayyar hoti hai jis ka naam ”mizr“ hai aur shehad se ek sharab tayyar hoti hai jo ”bit'a“ kehlati hai . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke har nasha lane wali cheez haram hai . Phir donon buzurg rawana huay . Maaz razi Allahu anhu ne Abu Musa razi Allahu anhu se poocha Aap Quran kis tarah parhte hain ? Unhon ne bataya ke kharay ho kar bhi , baith kar bhi aur apni sawari par bhi aur main thore thore arsa baad parhta hi rehta hoon . Maaz razi Allahu anhu ne kaha lekin mera mamool yeh hai ke shuru raat mein , main so jata hoon aur phir bedar ho jata hoon . Is tarah main apni neend par bhi sawab ka umeedwar hoon jis tarah bedar ho kar (ibadat karne par) sawab ki mujhe umeed hai aur unhon ne ek khaima laga liya aur ek doosre se mulaqat barabar hoti rehti . Ek martaba Maaz razi Allahu anhu Abu Musa razi Allahu anhu se milne ke liye aaye , dekha ek shakhs bandha hua hai . Poocha yeh kya baat hai ? Abu Musa razi Allahu anhu ne batlaya ke yeh ek Yahudi hai , pehle khud Islam laya ab yeh murtad ho gaya hai . Maaz razi Allahu anhu ne kaha ke main usay qatl kiye baghair hargiz na rahoon ga . Muslim bin Ibrahim ke saath is hadees ko Abdul Malik bin Amr Aqadi aur Wahb bin Jareer ne Shubah se riwayat kiya hai aur Waki , Nadr aur Abu Dawood ne is ko Shubah se , unhon ne Saeed se , unhon apne baap Burdah se , unhon ne Saeed ke dada Abu Musa razi Allahu anhu se , unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se riwayat kiya aur Jareer bin Abdul Hameed ne is ko Shaybani se riwayat kiya , unhon ne Abu Burdah se .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة