الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب:
Bab: …
Hadith Number: 4292
حدثنا ابو الوليد ، حدثنا شعبة ، عن عمرو ، عن ابن ابي ليلى : " ما اخبرنا احد انه راى النبي صلى الله عليه وسلم يصلي الضحى غير ام هانئ ، فإنها ذكرت انه يوم فتح مكة اغتسل في بيتها، ثم صلى ثماني ركعات، قالت: لم اره صلى صلاة اخف منها غير انه يتم الركوع والسجود ".
Hum se Abu al-Waleed ne byaan kiya ‘ kaha hum se Shubah ne byaan kiya ‘ un se Amr ne ‘ un se Ibn Abi Layla ne ke Umm Hani razi Allahu anha ke siwa hamain kisi ne yeh khabar nahi di ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne chasht ki namaaz parhi ‘ unhi ne kaha ke jab Makkah fatah hua to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne un ke ghar ghusl kiya aur aath rakat namaaz parhi . Unhon ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko main ne itni halki namaaz parhte kabhi nahi dekha tha . Phir bhi is mein Aap salla Allahu alaihi wasallam ruku aur sajda poori tarah karte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1103
حدثنا حفص بن عمر، قال: حدثنا شعبة، عن عمرو، عن ابن ابي ليلى، قال:" ما اخبرنا احد انه راى النبي صلى الله عليه وسلم صلى الضحى غير ام هانئ، ذكرت ان النبي صلى الله عليه وسلم يوم فتح مكة اغتسل في بيتها، فصلى ثماني ركعات فما رايته صلى صلاة اخف منها، غير انه يتم الركوع والسجود".
Hum se Hafs bin Umar ne byaan kiya , kaha ke hum se Shu'bah ne byaan kiya , un se Amr bin Murrah ne , un se Ibn Abi Laila ne , unhon ne kaha ke hamen kisi ne yeh khabar nahi di ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko unhon ne chasht ki namaaz parhte dekha haan Umm Hani razi Allahu anha ka byaan hai ke Fatah Makkah ke din Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne un ke ghar ghusal kiya tha aur is ke baad Aap salla Allahu alaihi wasallam ne aath rakaten parhi thin , main ne Aap salla Allahu alaihi wasallam ko kabhi itni halki phulki namaaz parhte nahi dekha albatta Aap salla Allahu alaihi wasallam ruku aur sajdah poori tarah karte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة