الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب غزوة الفتح فى رمضان:
Bab: Fath-e-Makkah ka bayan jo Ramzan sanah 8 Hijri mein hua tha.
Show diacritics
Hadith Number: 4277
حدثني عياش بن الوليد، حدثنا عبد الاعلى، حدثنا خالد، عن عكرمة، عن ابن عباس، قال:" خرج النبي صلى الله عليه وسلم في رمضان إلى حنين والناس مختلفون فصائم ومفطر، فلما استوى على راحلته دعا بإناء من لبن او ماء، فوضعه على راحته او على راحلته، ثم نظر إلى الناس، فقال:" المفطرون للصوام، افطروا".
Mujh se Ayash bin Waleed ne byaan kiya ‘ kaha hum se Abdul Aala ne byaan kiya ‘ un se Khalid ne byaan kiya ‘ un se Ikrimah ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Ramzan mein Hunayn ki taraf tashreef le gaye . Musalmanon mein baaz hazrat to rozay se thay aur baaz ne roza nahi rakha tha lekin jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam apni sawari par poori tarah baith gaye to Aap ne bartan mein doodh ya pani talab farmaya aur usay apni oontni par ya apni hatheli par rakha (aur phir pee liya) phir Aap ne logon ko dekha to jin logon ne pehle se roza nahi rakha tha ‘ unhon ne roza daron se kaha ke ab roza tor lo .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1944
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، عن ابن عباس رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم خرج إلى مكة في رمضان، فصام حتى بلغ الكديد، افطر فافطر الناس"، قال ابو عبد الله: والكديد ماء بين عسفان، وقديد.
Hum se Abdullah Bin Yusuf Taneesi ne bayan kiya, kaha ke hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Ibn Shihab ne, unhein Ubaidullah Bin Abdullah Bin Utba ne aur unhein Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) (Fatah-e-Makkah ke mauqe par) Makkah ki taraf Ramzan mein chale to aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) roze se thay lekin jab Kudaid pohanche to roza rakhna chor diya. Abu Abdullah (Imam Bukhari Rahimahullah) ne kaha ke Usfan aur Qudaid ke darmiyan Kudaid ek talab hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة