الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الصلاة
Kitab: Namaz ke ahkam o masail
باب عظة الإمام الناس فى إتمام الصلاة، وذكر القبلة:
Bab: Imam logon ko ye nasihat kare ke namaz poori tarah parhen aur qiblah ka bayan.
Hadith Number: 419
حدثنا يحيى بن صالح، قال: حدثنا فليح بن سليمان، عن هلال بن علي، عن انس بن مالك، قال: صلى بنا النبي صلى الله عليه وسلم صلاة، ثم رقي المنبر، فقال في الصلاة وفي الركوع:" إني لاراكم من ورائي كما اراكم".
Hum se Yahya bin Saleh ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Fulaih bin Sulaiman ne Hilal bin Ali se , unhon ne Anas bin Malik raziyallahu anhu se , woh kehte hain ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne humein ek martaba namaz parhayi , phir aap salla Allahu alaihi wa sallam minbar par charhay , phir namaz ke bab mein aur rukoo ke bab mein farmaya mein tumhein peechay se bhi isi tarah dekhta rehta hun jaisay ab samne se dekh raha hun .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 742
حدثنا محمد بن بشار، قال: حدثنا غندر، قال: حدثنا شعبة، قال: سمعت قتادة، عن انس بن مالك، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" اقيموا الركوع والسجود فوالله إني لاراكم من بعدي، وربما قال: من بعد ظهري إذا ركعتم وسجدتم".
Hum se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Ghundar ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , kaha ke main ne Qatadah se suna , woh Anas bin Malik razi Allahu anhu se bayan karte thay aur woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ruku aur sujood poori tarah kiya karo . Allah ki qasam! main tumhein apne peeche se bhi dekhta rehta hoon ya is tarah kaha ke peeth peeche se jab tum ruku karte ho aur sajda karte ho (to main tumhein dekhta hoon) .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6644
حدثني إسحاق، اخبرنا حبان، حدثنا همام، حدثنا قتادة، حدثنا انس بن مالك رضي الله عنه، انه سمع النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" اتموا الركوع والسجود، فوالذي نفسي بيده، إني لاراكم من بعد ظهري إذا ما ركعتم، وإذا ما سجدتم".
Mujh se Ishaq ne bayan kiya, kaha hamain ko Habban ne khabar di, kaha hum se Humam ne bayan kiya, kaha hamase Qatadah ne bayan kiya, kaha hamase Anas bin Malik razi Allahu anhu ne bayan kiya ke unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna, Aap salla Allahu alaihi wasallam farma rahe thay ke rukoo aur sajda poore taur par ada kiya karo. Allah ki qasam jis ke hath mein meri jaan hai main apni kamar ke peeche se tum ko dekh laita hoon jab rukoo aur sajda karte ho.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة