الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب غزوة الحديبية:
Bab: Ghazwah-e-Hudaybiyyah ka bayan.
Hadith Number: 4165
حدثنا قبيصة , حدثنا سفيان , عن طارق , قال: ذكرت عند سعيد بن المسيب الشجرة , فضحك فقال: اخبرني ابي , وكان شهدها.
Hum se Qabisa Bin Uqba ne bayan kiya ‘ kaha hum se Sufyan Sawri ne bayan kiya ‘ in se Tariq Bin Abdur Rahman ne bayan kiya ke Saeed Bin Musayyab ki majlis mein «Al-Shajarah» ka zikr hua to wo hanse aur kaha ke mere walid ne mujhe bataya ke wo bhi is darakht ke tale baiat mein shareek thay
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4162
حدثني محمد بن رافع , حدثنا شبابة بن سوار ابو عمرو الفزاري , حدثنا شعبة , عن قتادة , عن سعيد بن المسيب , عن ابيه , قال:" لقد رايت الشجرة ثم اتيتها بعد فلم اعرفها.
Mujh se Muhammad Bin Rafi ne bayan kiya ‘ kaha hum se Abu Amr Shababa Bin Sawar Fazari ne bayan kiya ‘ in se Shuba ne bayan kiya ‘ in se Qatada ne ‘ in se Saeed Bin Musayyab ne aur in se in ke walid (Musayyab Bin Hazn Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mein ne wo darakht dekha tha lekin phir baad mein jab aaya to mein ise nahi pehchan saka. Mahmood ne bayan kiya ke phir baad mein wo darakht mujhe yaad nahi raha tha
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة