الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب غزوة الحديبية:
Bab: Ghazwah-e-Hudaybiyyah ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 4163
حدثنا محمود , حدثنا عبيد الله , عن إسرائيل , عن طارق بن عبد الرحمن , قال: انطلقت حاجا فمررت بقوم يصلون قلت: ما هذا المسجد؟ قالوا: هذه الشجرة حيث بايع رسول الله صلى الله عليه وسلم بيعة الرضوان , فاتيت سعيد بن المسيب , فاخبرته , فقال سعيد: حدثني ابي انه كان فيمن بايع رسول الله صلى الله عليه وسلم تحت الشجرة , قال: فلما خرجنا من العام المقبل نسيناها فلم نقدر عليها , فقال سعيد:" إن اصحاب محمد صلى الله عليه وسلم لم يعلموها وعلمتموها انتم , فانتم اعلم".
Hum se Mahmood Bin Ghailan ne bayan kiya ‘ kaha hum se Ubaidullah Bin Abdullah ne bayan kiya ‘ in se Israil ne ‘ in se Tariq Bin Abdur Rahman ne bayan kiya ke hajj ke irade se jate hue mein kuch aise logon ke pas se guzra jo namaz parh rahe thay. Mein ne poocha ke ye kaun si masjid hai? Unhon ne bataya ke ye wahi darakht hai jahan Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Baiat-e-Rizwan li thi. Phir mein Saeed Bin Musayyab ke pas aaya aur mein ne unhein is ki khabar di ‘ unhon ne kaha mujh se mere walid Musayyab Bin Hazn ne bayan kiya ‘ wo in logon mein thay jinhon ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se is darakht ke tale baiat ki thi. Kehte thay jab mein dusre saal wahan gaya to is darakht ki jagah ko bhool gaya. Saeed ne kaha Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke ashab to is darakht ko pehchan na sake. Tum logon ne kaise pehchan liya (is ke tale masjid bana li) tum in se zyada ilm wale thahre
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4162
حدثني محمد بن رافع , حدثنا شبابة بن سوار ابو عمرو الفزاري , حدثنا شعبة , عن قتادة , عن سعيد بن المسيب , عن ابيه , قال:" لقد رايت الشجرة ثم اتيتها بعد فلم اعرفها.
Mujh se Muhammad Bin Rafi ne bayan kiya ‘ kaha hum se Abu Amr Shababa Bin Sawar Fazari ne bayan kiya ‘ in se Shuba ne bayan kiya ‘ in se Qatada ne ‘ in se Saeed Bin Musayyab ne aur in se in ke walid (Musayyab Bin Hazn Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mein ne wo darakht dekha tha lekin phir baad mein jab aaya to mein ise nahi pehchan saka. Mahmood ne bayan kiya ke phir baad mein wo darakht mujhe yaad nahi raha tha
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة