الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب غزوة الحديبية:
Bab: Ghazwah-e-Hudaybiyyah ka bayan.
Hadith Number: 4152
حدثنا يوسف بن عيسى , حدثنا ابن فضيل , حدثنا حصين , عن سالم , عن جابر رضي الله عنه , قال: عطش الناس يوم الحديبية ورسول الله صلى الله عليه وسلم بين يديه ركوة فتوضا منها , ثم اقبل الناس نحوه , فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ما لكم" , قالوا: يا رسول الله ليس عندنا ماء نتوضا به ولا نشرب إلا ما في ركوتك , قال: فوضع النبي صلى الله عليه وسلم يده في الركوة فجعل الماء يفور من بين اصابعه كامثال العيون , قال: فشربنا وتوضانا , فقلت لجابر: كم كنتم يومئذ؟ قال: لو كنا مائة الف لكفانا كنا خمس عشرة مائة.
Hum se Yusuf Bin Isa ne bayan kiya ‘ kaha hum se Muhammad Bin Fuzail ne ‘ kaha hum se Husain Bin Abdur Rahman ne ‘ in se Salim Bin Abi Al-Jad ne aur in se Jabir Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Ghazwa Hudaibiya ke mauqe par sara hi lashkar pyasa ho chuka tha. Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke samne ek chagal tha ‘ is ke pani se Aap ne wudhu kiya. Phir sahaba Aap ki khidmat mein hazir hue to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne daryaft farmaya ke kya baat hai? Sahaba bole ke Ya Rasul Allah! Hamare pas ab pani nahi raha ‘ na wudhu karne ke liye aur na peene ke liye. Siwa is pani ke jo Aap ke bartan mein maujood hai. Bayan kiya ke phir Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne apna hath is bartan mein rakha aur pani Aap ki ungliyon ke darmiyan se chashme ki tarah phoot phoot kar ubalne laga. Ravi ne bayan kiya ke phir hum ne pani piya bhi aur wudhu bhi kiya. (Salim kehte hain ke) mein ne Jabir Radi Allahu Anhu se poocha ke Aap log kitni tidad mein thay? Unhon ne batlaya ke agar hum ek lakh bhi hote to bhi wo pani kafi ho jata. Waise is waqt hamari tidad pandrah sau thi
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3576
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا عبد العزيز بن مسلم، حدثنا حصين، عن سالم بن ابي الجعد، عن جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، قال:" عطش الناس يوم الحديبية والنبي صلى الله عليه وسلم بين يديه ركوة فتوضا، فجهش الناس نحوه، فقال: ما لكم، قالوا: ليس عندنا ماء نتوضا ولا نشرب إلا ما بين يديك فوضع يده في الركوة فجعل الماء يثور بين اصابعه كامثال العيون فشربنا وتوضانا، قلت: كم كنتم؟ قال، لو كنا مائة الف لكفانا كنا خمس عشرة مائة".
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Aziz bin Muslim ne bayan kiya, un se Husain ne bayan kiya, un se Salim bin Abi al-Ja'd ne aur un se Jabir Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Sulh-e-Hudaibiyah ke din logon ko pyaas lagi hui thi Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ke samne ek chhaagal rakha hua tha Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya kya baat hai? Logon ne kaha ke jo pani Aap ke samne hai, is pani ke siwa na to hamare pas wudhu ke liye koi doosra pani hai aur na peene ke liye. Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apna hath chhaagal mein rakh diya aur pani Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ungliyon ke darmiyan mein se chashme ki tarah phootne laga aur hum sab logon ne is pani ko piya bhi aur is se wudhu bhi kiya. Mein ne poocha Aap log kitni tadad mein thay? Kaha ke agar hum ek lakh bhi hote to woh pani kafi hota. Waise hamari tadad is waqt pandrah so thi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة