الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب غزوة الخندق وهى الأحزاب:
Bab: Ghazwah-e-Khandaq ka bayan jis ka doosra naam Ghazwah-e-Ahzab hai.
Hadith Number: 4097
حدثنا يعقوب بن إبراهيم , حدثنا يحيى بن سعيد , عن عبيد الله , قال: اخبرني نافع , عن ابن عمر رضي الله عنهما ," ان النبي صلى الله عليه وسلم عرضه يوم احد وهو ابن اربع عشرة سنة فلم يجزه , وعرضه يوم الخندق وهو ابن خمس عشرة سنة فاجازه".
Hum se Yaqub Bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum se Yahya Bin Saeed Qattan ne bayan kiya, un se Ubaidullah Umri ne, kaha ke mujhe Nafi ne khabar di aur unhein Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke samne apne aap ko unhon ne Ghazwa Uhud ke mauqe par pesh kiya (taake larne walon mein unhein bhi bharti kar liya jaye) is waqt wo chauda saal ke thay to Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne unhein ijazaat nahi di. Lekin Ghazwa Khandaq ke mauqe par jab unhon ne Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke samne apne ko pesh kiya to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne in ko manzoor farma liya. Is waqt wo pandrah saal ki umar ke thay
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1264
حدثنا محمد بن مقاتل، اخبرنا عبد الله بن المبارك، اخبرنا هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كفن في ثلاثة اثواب يمانية بيض سحولية من كرسف ليس فيهن قميص ولا عمامة".
Hum se Muhammad bin Muqatil ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum ko Abdullah ne khabar di , unhon ne kaha ke humein Hisham bin Urwah ne khabar di , unhein un ke baap Urwah bin Zubayr ne aur unhein (un ki khala) Umm al-Mumineen Aisha Siddiqa razi Allahu anha ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko Yemen ke teen safaid soti dhulay huay kapron mein kafan diya gaya un mein na qamees thi na amama .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2664
حدثنا عبيد الله بن سعيد، حدثنا ابو اسامة، قال: حدثني عبيد الله، قال: حدثني نافع، قال: حدثني ابن عمر رضي الله عنهما،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم عرضه يوم احد وهو ابن اربع عشرة سنة، فلم يجزني، ثم عرضني يوم الخندق وانا ابن خمس عشرة سنة، فاجازني، قال نافع: فقدمت على عمر بن عبد العزيز وهو خليفة، فحدثته هذا الحديث، فقال: إن هذا لحد بين الصغير والكبير، وكتب إلى عماله ان يفرضوا لمن بلغ خمس عشرة".
Hum se Abdullah Bin Saeed ne bayan kiya, kaha ke hum se Abu Usama ne bayan kiya, kaha ke mujh se Ubaidullah ne bayan kiya, kaha ke mujh se Nafi ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Uhud ki larai ke moqa par wo Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke samne (jang par jane ke liye) pesh hue to unhein ijazat nahi mili, is waqt un ki umar chaudah saal thi. Phir Ghazwa-e-Khandaq ke moqa par pesh hue to ijazat mil gayi. Is waqt un ki umar pandrah saal thi. Nafi ne bayan kiya ke jab mein Umar Bin Abdul Aziz ke yahan un ki khilafat ke zamane mein gaya to mein ne un se ye hadees bayan ki to unhon ne farmaya ke chote aur bare ke darmiyan (pandrah saal hi ki) had hai. Phir unhon ne apne hakimou ko likha ke jis bacche ki umar pandrah saal ki ho jaye (is ka fauji wazifa) Bait-ul-Mal se muqarrar kar dein
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة