الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب: {إذ همت طائفتان منكم أن تفشلا والله وليهما وعلى الله فليتوكل المؤمنون} :
Bab: Jab tum mein se do jamaaten aisa irada kar baithtiin thin ke himmat haar den halanke Allah dono ka madadgar tha aur imaan-daron ko to Allah par bharosa rakhna chahiye.
Show diacritics
Hadith Number: 4063
حدثني عبد الله بن ابي شيبة , حدثنا وكيع , عن إسماعيل , عن قيس , قال:" رايت يد طلحة شلاء وقى بها النبي صلى الله عليه وسلم يوم احد".
Hum se Abdullah Bin Abi Shaiba ne bayan kiya, kaha hum se Wakee ne bayan kiya, un se Ismail ne, un se Qais ne bayan kiya ke mein ne Talha Radi Allahu Anhu ka wo hath dekha jo shall ho chuka tha. Is hath se unhon ne Ghazwa Uhud ke din Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki hifazat ki thi
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3724
حدثنا مسدد، حدثنا خالد، حدثنا ابن ابي خالد، عن قيس بن ابي حازم، قال:" رايت يد طلحة التي وقى بها النبي صلى الله عليه وسلم قد شلت".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Khalid ne bayan kiya, in se Khalid bin Abi Khalid ne, in se Qais bin Abi Hazim ne ke mein ne Talhah Radi Allahu Anhu ka rahi hath dekha hai jis se unhon ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki (Jang-e-Uhud mein) hifazat ki thi woh bilkul bekar ho chuka tha.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة