الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب: {إذ همت طائفتان منكم أن تفشلا والله وليهما وعلى الله فليتوكل المؤمنون} :
Bab: Jab tum mein se do jamaaten aisa irada kar baithtiin thin ke himmat haar den halanke Allah dono ka madadgar tha aur imaan-daron ko to Allah par bharosa rakhna chahiye.
Hadith Number: 4051
حدثنا محمد بن يوسف , عن ابن عيينة , عن عمرو , عن جابر رضي الله عنه , قال:" نزلت هذه الآية فينا إذ همت طائفتان منكم ان تفشلا سورة آل عمران آية 122 بني سلمة , وبني حارثة وما احب انها لم تنزل والله يقول: والله وليهما سورة آل عمران آية 122".
Hum se Muhammad Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Uyainah ne bayan kiya, un se Amr ne, un se Jabir Bin Abdullah (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke ye ayat hamare bare mein nazil hui thi «iz hammat taifatani minkum an tafshala» (Aal-e-Imran: 122) yani Bani Haritha aur Bani Salama ke bare mein. Meri khwahish nahi hai ke ye ayat nazil na hoti, jab ke Allah aage farma raha hai «wallahu waliyyuhuma» ”Aur Allah in dono jamaaton ka madadgaar tha“
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4558
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، قال: قال عمرو: سمعت جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، يقول:" فينا نزلت إذ همت طائفتان منكم ان تفشلا والله وليهما سورة آل عمران آية 122، قال: نحن الطائفتان: بنو حارثة، وبنو سلمة، وما نحب، وقال سفيان مرة:" وما يسرني انها لم تنزل لقول الله والله وليهما سورة آل عمران آية 122.
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , kaha Amr bin Dinar ne kaha , unhon ne Jabir bin Abdullah Ansari razi Allahu anhuma se suna , unhon ne byaan kiya ke hamare hi baare mein yeh aayat nazil hui thi , jab hum se do jama'atein is ka khayal kar baithi thien ke himmat haar dein , dar-aan halaikay Allah donon ka madadgar tha . Sufyan ne byaan kiya ke hum do jama'atein Banu Harisa aur Banu Salmah thay . Haalan ke is aayat mein hamare boode-pan ka zikr hai , magar hum ko yeh pasand nahi ke yeh aayat na utarti kyunke is mein yeh mazkoor hai ke Allah in donon grohon ka madadgar (sar-parast) hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة