الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب:
Bab: …
Hadith Number: 3996
حدثني خليفة، حدثنا محمد بن عبد الله الانصاري، حدثنا سعيد، عن قتادة، عن انس رضي الله عنه، قال:" مات ابو زيد ولم يترك عقبا وكان بدريا".
Mujh se Khalifa ne bayan kiya, hum se Abdullah Ansari ne bayan kiya, un se Saeed ne bayan kiya, un se Qatadah aur un se Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Abu Zaid Radi Allahu Anhu wafat pa gaye aur unhon ne koi aulad nahi chori, wo Badr ki larai mein shareek hue thay
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3810
حدثني محمد بن بشار، حدثنا يحيى، حدثنا شعبة، عن قتادة، عن انس رضي الله عنه , قال:" جمع القرآن على عهد النبي صلى الله عليه وسلم اربعة كلهم من الانصار: ابي , ومعاذ بن جبل , وابو زيد , وزيد بن ثابت، قلت لانس: من ابو زيد؟ قال: احد عمومتي".
Mujh se Muhammad Bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Yahya ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Qatadah ne aur un se Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke zamane mein char aadmi jin sab ka talluq qabila Ansar se tha, Quran Majeed jama karne wale thay. Ubayy Bin Kab, Muaz Bin Jabal, Abu Zaid aur Zaid Bin Sabit Radi Allahu Anhum mein ne poocha: Abu Zaid kaun hain? Unhon ne farmaya ke wo mere ek chacha hain
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة