الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب قتل أبى جهل:
Bab: (Badr ke din) Abu Jahl ka qatl hona.
Show diacritics
Hadith Number: 3973
اخبرني إبراهيم بن موسى، حدثنا هشام بن يوسف، عن معمر، اخبرنا هشام، عن عروة، قال:" كان في الزبير ثلاث ضربات بالسيف إحداهن في عاتقه، قال: إن كنت لادخل اصابعي فيها، قال: ضرب ثنتين يوم بدر وواحدة يوم اليرموك، قال: عروة، وقال لي عبد الملك بن مروان حين قتل عبد الله بن الزبير: يا عروة، هل تعرف سيف الزبير؟ قلت: نعم، قال: فما فيه؟ قلت: فيه فلة فلها يوم بدر، قال: صدقت , بهن فلول من قراع الكتائب , ثم رده على عروة، قال هشام: فاقمناه بيننا ثلاثة آلاف , واخذه بعضنا ولوددت اني كنت اخذته.
Mujhe Ibrahim Bin Musa ne khabar di, kaha hum se Hisham Bin Yusuf ne bayan kiya, un se Ma'mar ne, un se Hisham ne, un se Urwah ne bayan kiya ke Zubair Radi Allahu Anhu ke jism par talwar ke teen (gehre) zakhmon ke nishanat thay. Ek un ke mondhe par tha (aur itna gehra tha) ke mein bachpan mein apni ungliyan in mein dakhil kar diya karta tha. Urwah ne bayan kiya ke in mein se do zakham Badr ki larai mein aaye thay aur ek jang-e-Yarmook mein. Urwah ne bayan kiya ke jab Abdullah Bin Zubair Radi Allahu Anhu ko (Hajjaj zalim ke hathon se) shaheed kar diya gaya to mujh se Abdul Malik Bin Marwan ne kaha: Ay Urwah! Kya Zubair Radi Allahu Anhu ki talwar tum pehchante ho? Mein ne kaha ke haan, pehchanta hoon. Us ne poocha is ki nishani batao? Mein ne kaha ke Badr ki larai ke mauqa par is ki dhaar ka ek hissa toot gaya tha, jo abhi tak is mein baqi hai. Abdul Malik ne kaha ke tum ne sach kaha (phir is ne Nabigha shayar ka ye misra parha) foujon ke sath larrte larrte in ki talwaron ki dhaarein kai jagah se toot gayi hain“ phir Abdul Malik ne wo talwar Urwah ko wapas kar di ‘ Hisham ne bayan kiya ke hamara andaza tha ke is talwar ki qeemat teen hazar dirham thi. Wo talwar hamare ek azeez (Usman Bin Urwah) ne qeemat de kar le li thi meri bari aarzu thi ke kash! Wo talwar mere hisse mein aati
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3721
حدثنا علي بن حفص، حدثنا ابن المبارك، اخبرنا هشام بن عروة، عن ابيه، ان اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم، قالوا للزبير يوم اليرموك: الا تشد فنشد معك , فحمل عليهم فضربوه ضربتين على عاتقه بينهما ضربة ضربها يوم بدر، قال عروة:" فكنت ادخل اصابعي في تلك الضربات العب وانا صغير".
Hum se Ali bin Hafs ne bayan kiya, kaha hum se Abdullah bin al-Mubarak ne bayan kiya, kaha hum ko Hisham bin Urwah ne khabar di aur unhein in ke walid ne ke Jang-e-Yarmook ke mauqay par Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ke Sahaba ne Zubair bin Awwam Radi Allahu Anhu se kaha Aap hamla kyun nahi karte taki hum bhi Aap ke sath hamla karein. Chunanche unhon ne in (Rumiyon) par hamla kiya. Is mauqay par unhon ne (Rumiyon ne) Aap ke do kari zakham shane par lagaye. Darmiyan mein woh zakham tha jo Badr ke mauqay par Aap ko laga tha. Urwah ne kaha ke (yeh zakham itne gehre thay ke acche ho jane ke baad) mein bachpan mein in zakhmon ke andar apni ungliyan daal kar khela karta tha.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة