الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب قتل أبى جهل:
Bab: (Badr ke din) Abu Jahl ka qatl hona.
Show diacritics
Hadith Number: 3969
حدثنا يعقوب بن إبراهيم الدورقي، حدثنا هشيم، اخبرنا ابو هاشم، عن ابي مجلز، عن قيس بن عباد، قال: سمعت ابا ذر يقسم قسما إن هذه الآية هذان خصمان اختصموا في ربهم سورة الحج آية 19 نزلت في الذين برزوا يوم بدر , حمزة , وعلي , وعبيدة بن الحارث , وعتبة , وشيبة ابني ربيعة , والوليد بن عتبة.
Hum se Yaqub Bin Ibrahim ne bayan kiya, hum se Hushaim ne bayan kiya, hum ko Abu Hashim ne khabar di, unhein Abu Mijlaz ne, unhein Qais ne, unhon ne kaha ke mein ne Abu Zar Radi Allahu Anhu se suna, wo qasmiya kehte thay ke ye ayat «Hazaani khasmani-khtasamu fi Rabbihim» un ke bare mein utri jo Badr ki larai mein muqable ke liye nikle thay yani Hamza, Ali aur Ubaidah Bin Haris Radi Allahu Anhum (musalmanon ki taraf se) aur Utbah, Shaibah, Rabeeah ke bete aur Walid Bin Utbah (kafiron ki taraf se)
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3966
حدثنا قبيصة، حدثنا سفيان، عن ابي هاشم، عن ابي مجلز، عن قيس بن عباد، عن ابي ذر رضي الله عنه، قال:" نزلت هذان خصمان اختصموا في ربهم سورة الحج آية 19 في ستة من قريش , علي , وحمزة , وعبيدة بن الحارث , وشيبة بن ربيعة , وعتبة بن ربيعة , والوليد بن عتبة".
Hum se Qabeesah ne bayan kiya, ke hum se Sufyan Suri ne bayan kiya, un se Abu Hashim ne, un se Abu Mijlaz ne, un se Qais Bin Ubad aur un se Abu Zar Radi Allahu Anhu ne bayan kiya aayat-e-karima «Hazaani khasmani-khtasamu fi Rabbihim» ”Ye do fareeq hain jinhon ne Allah ke bare mein muqabla kiya“ Quraish ke chay shakhson ke bare mein nazil hui thi (teen musalmanon ki taraf ke yani Ali, Hamza aur Ubaidah Bin Haris Radi Allahu Anhum aur (teen kuffar ki taraf ke yani) Shaibah Bin Rabeeah, Utbah Bin Rabeeah aur Walid Bin Utbah
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة