الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب مناقب الأنصار
Kitab: Ansar ke manaqib
باب مقدم النبى صلى الله عليه وسلم وأصحابه المدينة:
Bab: Nabi Karim ﷺ aur Aap ke Sahaba-e-Kiram ka Madinah mein aana.
Hadith Number: 3928
حدثنا يحيى بن سليمان، حدثني ابن وهب، حدثنا مالك، واخبرني يونس، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عبيد الله بن عبد الله، انعبد الله بن عباس اخبره، ان عبد الرحمن بن عوف رجع إلى اهله وهو بمنى في آخر حجة حجها عمر فوجدني، فقال عبد الرحمن: فقلت: يا امير المؤمنين إن الموسم يجمع رعاع الناس , وإني ارى ان تمهل حتى تقدم المدينة فإنها دار الهجرة والسنة والسلامة وتخلص لاهل الفقه , واشراف الناس وذوي رايهم، قال عمر:" لاقومن في اول مقام اقومه بالمدينة".
Hum se Yahya Bin Sulaiman ne bayan kiya, kaha mujh se Abdullah Bin Wahab ne bayan kiya, un se Imam Malik ne bayan kiya (doosri sanad) aur mujhe Yunus ne khabar di, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, kaha mujh ko Ubaidullah Bin Abdullah ne khabar di aur unhein Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne khabar di ke Abdur Rahman Bin Auf Radi Allahu Anhu Mina mein apne khaime ki taraf wapas aa rahe thay. Ye Umar Radi Allahu Anhu ke aakhri hajj ka waqia hai to in ki mujh se mulaqat ho gayi. Unhon ne kaha ke (Umar Radi Allahu Anhu hajiyon ko khitab karne wale thay is liye) mein ne arz kiya ke ay Ameer-ul-Momineen! Mausam-e-hajj mein mamooli sojh boojh rakhne wale sab tarah ke log jama hote hain aur shor o ghul bahut hota hai is liye mera khayal hai ke aap apna irada mauqoof kar dein aur Madinah pahunch kar (khitab farmayein) kyunke wo hijrat aur sunnat ka ghar hai aur wahan samajhdar muaziz aur sahib-e-aql log rehte hain.“ Is par Umar Radi Allahu Anhu ne kaha ke tum theek kehte ho, Madinah pahunchte hi sab se pehli fursat mein logon ko khitab karne ke liye zaroor khara hoon ga
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2462
حدثنا يحيى بن سليمان، قال: حدثني ابن وهب، قال: حدثني مالك، واخبرني يونس، عن ابن شهاب، اخبرني عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، ان ابن عباس اخبره، عن عمر رضي الله عنهم، قال:" حين توفى الله نبيه صلى الله عليه وسلم إن الانصار اجتمعوا في سقيفة بني ساعدة، فقلت لابي بكر: انطلق بنا، فجئناهم في سقيفة بني ساعدة".
Hum se Yahya Bin Sulaiman ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Ibn Wahb ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Imam Malik ne bayan kiya (doosri sanad) aur mujh ko Yunus ne khabar di ke Ibn Shihab ne kaha, mujh ko khabar di Ubaidullah Bin Abdullah Bin Utbah ne, unhein Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne khabar di ke Umar (Radi Allahu Anhu) ne kaha, jab apne Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko Allah Ta'ala ne wafat day di to Ansar Banu Saida ke «سقيفة» chopal mein jama hue. Mein ne Abu Bakr (Radi Allahu Anhu) se kaha ke Aap humein bhi wahin lay chaliye. Chunanche hum Ansar ke yahan Saqeefah Banu Saida mein pahunche
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة