الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب مناقب الأنصار
Kitab: Ansar ke manaqib
باب هجرة النبى صلى الله عليه وسلم وأصحابه إلى المدينة:
Bab: Nabi Karim ﷺ aur Aap ke Sahaba-e-Kiram ka Madinah ki taraf hijrat karna.
Hadith Number: 3920
وقال دحيم , حدثنا الوليد، حدثنا الاوزاعي، حدثني ابو عبيد، عن عقبة بن وساج، حدثني انس بن مالك رضي الله عنه، قال:" قدم النبي صلى الله عليه وسلم المدينة فكان اسن اصحابه ابو بكر فغلفها بالحناء والكتم , حتى قنا لونها".
Aur Duhaim ne bayan kiya, un se Walid ne bayan kiya, kaha hum se Awzai ne bayan kiya, kaha mujh se Abu Ubaid ne bayan kiya, un se Uqbah Bin Wasaj ne unhon ne kaha ke mujh se Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke jab Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Madinah tashreef laye to aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke ashab mein sab se zyada umr Abu Bakr Radi Allahu Anhu ki thi is liye unhon ne mehandi aur wasmah ka khizab istemal kiya. Is se aap ke balon ka rang khoob surkhi mayal ba siyah ho gaya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3919
حدثنا سليمان بن عبد الرحمن، حدثنا محمد بن حمير، حدثنا إبراهيم بن ابي عبلة، ان عقبة بن وساج، حدثه , عن انس خادم النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" قدم النبي صلى الله عليه وسلم وليس في اصحابه اشمط غير ابي بكر , فغلفها بالحناء والكتم".
Hum se Sulaiman Bin Abdur Rahman ne bayan kiya, kaha hum se Muhammad Bin Humair ne bayan kiya, kaha hum se Ibrahim Bin Abi Ablah ne bayan kiya, un se Uqbah Bin Wasaj ne bayan kiya aur un se Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke khadim Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke jab Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam (Madinah Munawwarah) tashreef laye to Abu Bakr Radi Allahu Anhu ke siwa aur koi aap ke ashab mein aisa nahi tha jis ke baal safaid ho rahe hon, is liye aap ne mehandi aur wasmah ka khizab istemal kiya tha
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة