الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الصلاة
Kitab: Namaz ke ahkam o masail
باب فضل استقبال القبلة:
Bab: Qiblah ki taraf munh karne ki fazilat.
Show diacritics
Hadith Number: 392
حدثنا نعيم، قال: حدثنا ابن المبارك، عن حميد الطويل، عن انس بن مالك، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" امرت ان اقاتل الناس حتى يقولوا لا إله إلا الله، فإذا قالوها وصلوا صلاتنا واستقبلوا قبلتنا وذبحوا ذبيحتنا، فقد حرمت علينا دماؤهم واموالهم إلا بحقها وحسابهم على الله"،
Hum se Nuaim bin Hammad ne bayan kiya, kaha hum se Abdullah Ibn Mubarak ne Humaid Taweel ke wasita se, unhon ne riwayat kiya Anas bin Malik Razi Allah Anhu se ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya mujhe hukm diya gaya hai ke main logon ke sath jung karoon yahan tak ke woh «la ilaha illa Allah» kahein. Pas jab woh is ka iqrar kar lein aur hamari tarah namaz padhne lagein aur hamare qibla ki taraf namaz mein munh karein aur hamare zabiha ko khane lagein to un ka khoon aur un ke amwal hum par haram ho gaye. Magar kisi haqq ke badle aur (batin mein) un ka hisab Allah par rahe ga.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 391
حدثنا عمرو بن عباس، قال: حدثنا ابن المهدي، قال: حدثنا منصور بن سعد، عن ميمون بن سياه، عن انس بن مالك، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من صلى صلاتنا، واستقبل قبلتنا، واكل ذبيحتنا، فذلك المسلم الذي له ذمة الله وذمة رسوله، فلا تخفروا الله في ذمته".
Hum se Amr bin Abbas ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibn Mahdi ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Mansoor bin Saad ne Maimun bin Siyah ke wasita se bayan kiya, unhon ne Anas bin Malik Razi Allah Anhu se, unhon ne kaha ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya, jis ne hamari tarah namaz padhi aur hamari tarah qibla ki taraf munh kiya aur hamare zabiha ko khaya to woh musalman hai jis ke liye Allah aur us ke Rasool ki panah hai. Pas tum Allah ke sath us ki di hui panah mein khiyanat na karo.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة